Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachpane ki yaad

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    ai bachpane duniyā to yaad aa rahī hai

    dil se mirī sadā-e-fariyād aa rahī hai

    rāhat sunā rahī thī afsāna saltanat

    thī maañ god mujh ko kāshāna saltanat

    vo ghar ki duur jis se thī gardish-e-zamāna

    āzādiyoñ merī ābād āshiyāna

    phirtī hai ab nazar meñ tasvīr us makāñ

    arsh-e-barīñ se behtar thī sarzamīñ jahāñ

    nāzuk-mizāj ban kar vo rūThnā machalnā

    sehn-e-makāñ meñ din bhar vo kūdnā-uchhalnā

    allāh-re vo taḳhayyul allāh-re sāz-o-sāmāñ

    duniyā saltanat thī is zindagī pe qurbāñ

    us ahd-e-āfyat meñ ik baar phir sulā de

    ai mere ahd-e-māzī phir ik jhalak dikhā de

    bāġh-e-jahāñ meñ rakkhā un shādiyoñ ne mujh ko

    rāhat loriyāñ diiñ āzādiyoñ ne mujh ko

    be-fikr zindagī thī ḳhud hosh mujh ko kab thā

    ik kaif-e-be-ḳhudī thā mast-e-mai-e-tarab thā

    ai umr-e-rafta ne mujh se be-valfāī

    aa palaT ke dam bhar maiñ huuñ tirā fidā.ī

    dil meñ sharārteñ thiiñ kaise ġhazab pinhāñ

    rag rag meñ bijliyāñ thiiñ josh-e-tarab pinhāñ

    huuñ apnī zindagī andāza karne vaalā

    jannat se ke ne dozaḳh meñ mujh ko Daalā

    ai bachpane ki duniya to yaad aa rahi hai

    dil se meri sada-e-fariyaad aa rahi hai

    rahat suna rahi thi afsana saltanat ka

    thi man ki god mujh ko kashana saltanat ka

    wo ghar ki dur jis se thi gardish-e-zamana

    aazadiyon ka meri aabaad aashiyana

    phirti hai ab nazar mein taswir us makan ki

    arsh-e-barin se behtar thi sarzamin jahan ki

    nazuk-mizaj ban kar wo ruThna machalna

    sehn-e-makan mein din bhar wo kudna-uchhalna

    allah-re wo taKHayyul allah-re saz-o-saman

    duniya ki saltanat thi is zindagi pe qurban

    us ahd-e-afyat mein ek bar phir sula de

    ai mere ahd-e-mazi phir ek jhalak dikha de

    bagh-e-jahan mein rakkha un shadiyon ne mujh ko

    rahat ki loriyan din aazadiyon ne mujh ko

    be-fikr zindagi thi KHud hosh mujh ko kab tha

    ek kaif-e-be-KHudi tha mast-e-mai-e-tarab tha

    ai umr-e-rafta tu ne ki mujh se be-walfai

    aa ja palaT ke dam bhar main hun tera fidai

    dil mein shararten thin kaise ghazab ki pinhan

    rag rag mein bijliyan thin josh-e-tarab ki pinhan

    hun apni zindagi ka andaza karne wala

    jannat se la ke tu ne dozaKH mein mujh ko Dala

    Source:

    Auraq-e-Aziz (Pg. 42)

    • Author: Aziz Lakhnavi
      • Publisher: Nusrat Publisher Aminabad Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now