Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bad-gumani

Nakhshab Jaarchawi

bad-gumani

Nakhshab Jaarchawi

MORE BYNakhshab Jaarchawi

    lamha lamha hai hayāt-e-kārgar mo'atabar

    sajda-sajda hai dil-e-āshufta-sar mo'atabar

    zarra-zarra hai vafā rahguzar mo'atabar

    rafta-rafta hotī jaatī hai mujassam aarzū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    multafit nazreñ nazar aatī haiñ kam-kam sahī

    iltifāt-e-husn raftār maddham sahī

    har adā meñ to karam hai zulf-e-barham sahī

    ye gumāñ hotā hai koī shai nahīñ hai justujū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    zehn-e-shā.ir mukammal quvvat-e-parvāz hai

    terā jo lahja hai merī ruuh āvāz hai

    raunaq-e-har-anjuman hai har chaman raaz hai

    ai sarāpā sher-o-naġhma ai mujassam rang-o-bū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    kā.enāt-e-arsh-o-kursī sar-nigūñ maujūd hai

    ruuh mahv-e-bandagī hai zindagī masjūd hai

    ab maiñ samjhā huuñ ki do-ālam kyā maqsūd hai

    raaz kab khultā agar jalva na hotā rū-ba-rū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    aa gayā ye husn fitrat meñ kaisā inqalāb

    ishq har har nafas hai ab payām-e-kāmyāb

    sāmne be-parda aane meñ nahīñ kuchh ijtināb

    ye nigāh-e-multajī ye bholī bholī guftugū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    ālam-e-asbāb meñ aisā kahīñ hotā nahīñ

    husn-e-ḳhud-bīñ ishq ke zer-e-nagīñ hotā nahīñ

    ye to sab kuchh hai magar mujh ko yaqīñ hotā nahīñ

    sochtā huuñ tere dil meñ aur merī aarzū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    qahr to kyā lutf nazroñ se bhī bachtā huuñ maiñ

    tujh se bargashta nahīñ apne se bargashta huuñ maiñ

    is liye ab iltifāt-e-husn par hañstā huuñ maiñ

    ye dil-e-nā-kāmyāb aur kāmyāb-e-ārzū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    ḳhvāb-e-shīrīñ kahīñ ḳhvāb-e-pareshāñ to nahīñ

    jān-e-jāñ samjhā huuñ jis ko dushman-e-jāñ to nahīñ

    ye tabāhī mirī rangīn unvāñ to nahīñ

    yaksūī hāsil nahīñ merī nazar hai chār-sū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    zāhirī ye rabt-e-ulfat bhī kabhī dhokā na ho

    ai yaqīn-e-iltifāt-e-husn phir aisā na ho

    mujh ko vo kuchh dekhnā ho jo kabhī dekhā na ho

    phir dil-e-pur-ārzū ho aur terī justujū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    haañ abhī baaqī hai kuchh kuchh zehn-o-dil par iḳhtiyār

    haañ abhī duniyā-e-zabt-e-shauq huuñ shahryār

    haañ abhī tujh par nahīñ merī tabāhī madār

    haañ abhī puḳhta nahīñ dil meñ binā-e-ārzū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    raushnī-e-tab.a ke hāthoñ nahīñ hāsil sukūñ

    zehn-o-dil kashmakash alfāz meñ kyūñkar kahūñ

    jur.at-e-rindāna meñ shāmil hai kuchh juzv-e-junūñ

    ye bhalā kahne kab bāteñ thī tere rū-ba-rū

    kyā miTānā chāhtā hai lutf ke parde meñ

    lamha lamha hai hayat-e-kargar ka mo'atabar

    sajda-sajda hai dil-e-ashufta-sar ka mo'atabar

    zarra-zarra hai wafa ki rahguzar ka mo'atabar

    rafta-rafta hoti jati hai mujassam aarzu

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    multafit nazren nazar aati hain kam-kam hi sahi

    iltifat-e-husn ki raftar maddham hi sahi

    har ada mein to karam hai zulf-e-barham hi sahi

    ye guman hota hai koi shai nahin hai justuju

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    zehn-e-shair ki mukammal quwwat-e-parwaz hai

    tera jo lahja hai meri ruh ki aawaz hai

    raunaq-e-har-anjuman hai har chaman ka raaz hai

    ai sarapa sher-o-naghma ai mujassam rang-o-bu

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    kaenat-e-arsh-o-kursi sar-nigun maujud hai

    ruh mahw-e-bandagi hai zindagi masjud hai

    ab main samjha hun ki do-alam ka kya maqsud hai

    raaz kab khulta agar jalwa na hota ru-ba-ru

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    aa gaya ye husn ki fitrat mein kaisa inqalab

    ishq ka har har nafas hai ab payam-e-kaamyab

    samne be-parda aane mein nahin kuchh ijtinab

    ye nigah-e-multaji ye bholi bholi guftugu

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    aalam-e-asbab mein aisa kahin hota nahin

    husn-e-KHud-bin ishq ke zer-e-nagin hota nahin

    ye to sab kuchh hai magar mujh ko yaqin hota nahin

    sochta hun tere dil mein aur meri aarzu

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    qahr to kya lutf ki nazron se bhi bachta hun main

    tujh se bargashta nahin apne se bargashta hun main

    is liye ab iltifat-e-husn par hansta hun main

    ye dil-e-na-kaamyab aur kaamyab-e-arzu

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    KHwab-e-shirin hi kahin KHwab-e-pareshan to nahin

    jaan-e-jaan samjha hun jis ko dushman-e-jaan to nahin

    ye tabahi ka meri rangin unwan to nahin

    yaksui hasil nahin meri nazar hai chaar-su

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    zahiri ye rabt-e-ulfat bhi kabhi dhoka na ho

    ai yaqin-e-iltifat-e-husn phir aisa na ho

    mujh ko wo kuchh dekhna ho jo kabhi dekha na ho

    phir dil-e-pur-arzu ho aur teri justuju

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    han abhi baqi hai kuchh kuchh zehn-o-dil par iKHtiyar

    han abhi duniya-e-zabt-e-shauq ka hun shahryar

    han abhi tujh par nahin meri tabahi ka madar

    han abhi puKHta nahin dil mein bina-e-arzu

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    raushni-e-taba ke hathon nahin hasil sukun

    zehn-o-dil ki kashmakash alfaz mein kyunkar kahun

    jurat-e-rindana mein shamil hai kuchh juzw-e-junun

    ye bhala kahne ki kab baaten thi tere ru-ba-ru

    kya miTana chahta hai lutf ke parde mein tu

    Source:

    Mashal-e-Raah (Pg. 138)

    • Author: Nakhshab Jaarchawi
      • Publisher: Hindustani Publishers, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now