aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDa shahr aur tanha aadmi

Perwaiz Shaharyar

baDa shahr aur tanha aadmi

Perwaiz Shaharyar

MORE BYPerwaiz Shaharyar

    december mahīna aur dillī sardī

    sitāroñ jhilmilātī jhurmuT se pare

    āsmān ke ek sunsān goshe meñ

    pūnam TheThurtā huā koī chāñd jaise

    bādaloñ meñ khātā hai mutvātir hachkole

    haule haule

    tanhā musāfir

    aur duur tak kohre chādar meñ lipTī

    bal khātī saḌkeñ

    dhund ġhubār meñ khoyā huā india gate

    ThanD meñ Thokareñ khātā musāfir

    ḳhush nasīb hai

    bādaloñ meñ ghus jaatā hai chāñd

    merī christmas raunaqeñ phailī haiñ tamām

    sitāroñ se raushan saje dhaje bāzār

    lazīz khānoñ ḳhushbueñ jahāñ phailī haiñ har-sū

    bāzār garm fazāoñ meñ

    mai sarmastī meñ Duubā huā hai puure shahr shabāb

    tanhā musāfir

    chand roza masāfat bhī kyā shai hai yāro!

    ham-vatanoñ se duur

    apno se duur

    jamunā taT par jaise bin māñjhī ke naav

    boat club ke sard paanī meñ jaise

    tairtā ruktā huā koī tanhā hubāb

    tanhā musāfir sochtā hai

    koī hai jis vo haath thaam le haule haule

    koī hai jo us ke saath kuchh daur chale haule haule

    dhund meñ khoī huī manzileñ

    tavīl saḌkeñ

    aur tanhā musāfir

    jaise pūnam TheThurtā huā koī chāñd

    bādaloñ meñ khātā hai mutvātir hachkole

    haule haule

    december ka mahina aur dilli ki sardi

    sitaron ki jhilmilati jhurmuT se pare

    aasman ke ek sunsan goshe mein

    punam ka TheThurta hua koi chand jaise

    baadalon mein khata hai mutwatir hachkole

    haule haule

    tanha musafir

    aur dur tak kohre ki chadar mein lipTi

    bal khati saDken

    dhund ki ghubar mein khoya hua india gate

    ThanD mein Thokaren khata musafir

    KHush nasib hai

    baadalon mein ghus jata hai chand

    meri christmas ki raunaqen phaili hain tamam

    sitaron se raushan saje dhaje bazar

    laziz khanon ki KHushbuen jahan phaili hain har-su

    bazar ki garm fazaon mein

    mai ki sarmasti mein Duba hua hai pure shahr ka shabab

    tanha musafir ki

    chand roza masafat bhi kya shai hai yaro!

    ham-watanon se dur

    apno se dur

    jamuna taT par jaise bin manjhi ke naw

    boat club ke sard pani mein jaise

    tairta rukta hua koi tanha hubab

    tanha musafir sochta hai

    koi hai jis ka wo hath tham le haule haule

    koi hai jo us ke sath kuchh daur chale haule haule

    dhund mein khoi hui manzilen

    tawil saDken

    aur tanha musafir

    jaise punam ka TheThurta hua koi chand

    baadalon mein khata hai mutwatir hachkole

    haule haule

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now