aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDe shahar ka KHwab

Perwaiz Shaharyar

baDe shahar ka KHwab

Perwaiz Shaharyar

MORE BYPerwaiz Shaharyar

    baḌā shahr baḌā shahr, baḌā shahar baḌā shahr

    kisī ke liye bā.is-e-tamāniyat

    kisī ke liye sāmān-e-masarrat

    aur kisī ke liye hai tuu, sarāsar qahr

    baḌe shahar chaah meñ, jaane kitne tabāh hue

    kitne rūThe apnoñ se

    kitne chhūTe ham-vatanoñ se

    lamha lamha ulajhte rahe

    sachche jhūTe sapnoñ se

    baḌe shahar ḳhvāb liye, har pal nayā azaab liye

    bhāgte rahe tamām umr, pesh-e-nazar sarāb liye

    lā-hāsilī ḳhvāb liye

    ghoḌe ke aage ghaas ho jaise

    har saañs na.ī aas ho jaise

    jiine umañg meñ

    marte rahe, marte rahe

    jannat paañv chhoḌ ke, ThanDak gaañv chhoḌ ke

    ruuh jaltī rahī tamām umr, badan chitā meñ

    zindagī azaab liye

    baḌe shahar ḳhvāb liye

    jalte rahe, tapte rahe, baḌe banñe ke firāq meñ

    shortcut lete rahe

    rātoñ-rāt, amiir banñe taak meñ

    ham chalte rahe, chalte rahe

    baḌe shahar chaah meñ, jaane kaise kaise gunāh kiye

    yahāñ tak ki āñkheñ hamārī pathrā ga.īñ, paañv hamāre shal hue

    insāniyat ham se chhin ga.ii, ham darindoñ ke misl hue

    ḳhushiyoñ talāsh meñ, ham jīte-jī laash hue

    is qadar behis-o-bad-havās hue, ham ḳhud se udaas hue

    baḌā shahr baḌā shahr, baḌā shahr baḌā shahr

    be-īmāniyoñ Dagar, bad-unvāniyoñ nagar

    sach hai terī chaah meñ, jaane kitne tabāh hue

    saarā gaañv apnoñ se ḳhālī ho gayā

    mātamī fazā meñ, ab har taraf hasrat-o-yās hai

    phir bhī baḌe shahar pyaas hai ki kabhī bujhtī nahīñ

    ek ḳhilqat hai ki kabhī ruktī nahīñ!

    ek hijrat hai ki kabhī ruktī nahīñ!

    zindagī kisī se haar jaa.e, ye kabhī mumkin nahīñ

    zindagī kisī se maat khā.e, ye bhī ab mumkin nahīñ

    zindagī ruktī nahīñ!!

    zindagī jhuktī nahīñ!!

    baDa shahr baDa shahr, baDa shahar baDa shahr

    kisi ke liye tu bais-e-tamaniyat

    kisi ke liye tu saman-e-masarrat

    aur kisi ke liye hai tu, sarasar qahr

    baDe shahar ki chah mein, jaane kitne tabah hue

    kitne ruThe apnon se

    kitne chhuTe ham-watanon se

    lamha lamha ulajhte rahe

    sachche jhuTe sapnon se

    baDe shahar ka KHwab liye, har pal naya azab liye

    bhagte rahe tamam umr, pesh-e-nazar sarab liye

    la-hasili ka KHwab liye

    ghoDe ke aage ghas ho jaise

    har sans nai aas ho jaise

    jine ki umang mein

    marte rahe, marte rahe

    jannat panw ki chhoD ke, ThanDak ganw ki chhoD ke

    ruh jalti rahi tamam umr, badan ki chita mein

    zindagi azab liye

    baDe shahar ka KHwab liye

    jalte rahe, tapte rahe, baDe banne ke firaq mein

    shortcut lete rahe

    raaton-raat, amir banne ki tak mein

    hum chalte rahe, chalte rahe

    baDe shahar ki chah mein, jaane kaise kaise gunah kiye

    yahan tak ki aankhen hamari pathra gain, panw hamare shal hue

    insaniyat hum se chhin gai, hum darindon ke misl hue

    KHushiyon ki talash mein, hum jite-ji lash hue

    is qadar behis-o-bad-hawas hue, hum KHud se hi udas hue

    baDa shahr baDa shahr, baDa shahr baDa shahr

    be-imaniyon ki Dagar, bad-unwaniyon ka nagar

    sach hai teri chah mein, jaane kitne tabah hue

    sara ganw apnon se KHali ho gaya

    matami faza mein, ab har taraf hasrat-o-yas hai

    phir bhi baDe shahar ki pyas hai ki kabhi bujhti nahin

    ek KHilqat hai ki kabhi rukti nahin!

    ek hijrat hai ki kabhi rukti nahin!

    zindagi kisi se haar jae, ye kabhi mumkin nahin

    zindagi kisi se mat khae, ye bhi ab mumkin nahin

    zindagi rukti nahin!!

    zindagi jhukti nahin!!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now