Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badi ka anjam

Faizi Fatehabadi

badi ka anjam

Faizi Fatehabadi

MORE BYFaizi Fatehabadi

    banāyā thā chiḌiyā ne ik ghoñsla

    ki vo ek ghar ke thā chhat meñ banā

    hue ek baar us ke bachche vahāñ

    khilātī ġhizā ke bachchoñ ko maañ

    vo bahr-e-ġhizā thī kisī din ga.ī

    pareshāñ huī jab vo vāpas huī

    ki bachche to haiñ lekin aafat ye thī

    ki baiThā hai bachchoñ meñ ik saañp bhī

    pareshān aur muztarib ho ga.ī

    bahut āh-zārī se fariyād

    magar saañp bachchoñ ko khāne lagā

    to us ne bahut minnatoñ se kahā

    jo kar rahā hai ye harakat burī

    zarūr intiqām is lūñgī kabhī

    sunī jab ki ye saañp ne guftugū

    lagā kahne hañs kar satā.egī

    vo huuñ maiñ bahādur ki Dartā hai sher

    karegī bhalā mujhe kaise zer

    ġharaz donoñ bachchoñ ko vo khā gayā

    shikam-ser ho kar vahīñ so rahā

    ye dekhā jo chiḌiyā ne āñkhoñ se haal

    to phir saañp par ġhussa aayā kamāl

    judā.ī meñ bachchoñ ke rotī rahī

    vo is ranj meñ jaan khotī rahī

    huī shab charāġhoñ meñ battī paḌī

    to jaltī huī battī le kar uḌī

    jahāñ saañp thā chhat meñ soyā huā

    vahāñ us ne battī ko ab rakh diyā

    jo logoñ ne dekhā to ghabrā ga.e

    ki aisā na ho aag chhat meñ lage

    koī aadmī jald chhat par chaḌhā

    lagā saaf karne vo jab ghoñsla

    vahāñ us ne dekhā ki hai ek maar

    to fauran laTh se diyā us ko maar

    hai 'faizī' ye zarbul-masal mustanad

    badī hamesha hai anjām bad

    banaya tha chiDiya ne ek ghonsla

    ki wo ek ghar ke tha chhat mein bana

    hue ek bar us ke bachche wahan

    khilati ghiza la ke bachchon ko man

    wo bahr-e-ghiza thi kisi din gai

    pareshan hui jab wo wapas hui

    ki bachche to hain lekin aafat ye thi

    ki baiTha hai bachchon mein ek sanp bhi

    pareshan aur muztarib ho gai

    bahut aah-zari se fariyaad ki

    magar sanp bachchon ko khane laga

    to us ne bahut minnaton se kaha

    jo tu kar raha hai ye harakat buri

    zarur intiqam is ka lungi kabhi

    suni jab ki ye sanp ne guftugu

    laga kahne hans kar sataegi tu

    wo hun main bahadur ki Darta hai sher

    karegi bhala tu mujhe kaise zer

    gharaz donon bachchon ko wo kha gaya

    shikam-ser ho kar wahin so raha

    ye dekha jo chiDiya ne aankhon se haal

    to phir sanp par ghussa aaya kamal

    judai mein bachchon ke roti rahi

    wo is ranj mein jaan khoti rahi

    hui shab charaghon mein batti paDi

    to jalti hui batti le kar uDi

    jahan sanp tha chhat mein soya hua

    wahan us ne batti ko ab rakh diya

    jo logon ne dekha to ghabra gae

    ki aisa na ho aag chhat mein lage

    koi aadmi jald chhat par chaDha

    laga saf karne wo jab ghonsla

    wahan us ne dekha ki hai ek mar

    to fauran hi laTh se diya us ko mar

    hai 'faizi' ye zarbul-masal mustanad

    badi ka hamesha hai anjam bad

    Source:

    Ataleeq (Pg. 26)

      • Publisher: Daftar Risala-e-Ataleeq, Hyderabad Deccan
      • Year of Publication: 1932

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now