Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badli ka chand

Josh Malihabadi

badli ka chand

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    ḳhurshīd vo dekho Duub gayā zulmat nishāñ lahrāne lagā

    mahtāb vo halke bādal se chāñdī ke varaq barsāne lagā

    vo sāñvle-pan par maidāñ ke halkī sabāhat dauḌ chalī

    thoḌā ubhar kar bādal se vo chāñd jabīñ jhalkāne lagā

    lo phir vo ghaTā.eñ chaak huiiñ zulmat qadam tharrāne lagā

    bādal meñ chhupā to khol diye bādal meñ darīche hiire ke

    gardūñ pe jo aayā to gardūñ dariyā tarah lahrāne lagā

    simTī jo ghaTā tārīkī meñ chāñdī ke safīne le ke chalā

    sankī jo havā to bādal ke girdāb meñ ġhote khāne lagā

    ġhurfoñ se jo jhāñkā gardūñ ke amvāj nabzeñ tez huiiñ

    halqoñ meñ jo dauḌā bādal ke kohsār sar chakrāne lagā

    parda jo uThāyā bādal dariyā pe tabassum dauḌ gayā

    chilman jo girā.ī badlī maidān dil ghabrāne lagā

    ubhrā to tajallī dauḌ ga.ī Duubā to falak be-nūr huā

    uljhā to siyāhī dauḌā suljhā to ziyā barsāne lage

    kyā kāvish-e-nūr-o-zulmat hai kyā qaid hai kyā āzādī hai

    insāñ taḌaptī fitrat mafhūm samajh meñ aane lagā

    KHurshid wo dekho Dub gaya zulmat ka nishan lahrane laga

    mahtab wo halke baadal se chandi ke waraq barsane laga

    wo sanwle-pan par maidan ke halki si sabahat dauD chali

    thoDa sa ubhar kar baadal se wo chand jabin jhalkane laga

    lo phir wo ghaTaen chaak huin zulmat ka qadam tharrane laga

    baadal mein chhupa to khol diye baadal mein dariche hire ke

    gardun pe jo aaya to gardun dariya ki tarah lahrane laga

    simTi jo ghaTa tariki mein chandi ke safine le ke chala

    sanki jo hawa to baadal ke girdab mein ghote khane laga

    ghurfon se jo jhanka gardun ke amwaj ki nabzen tez huin

    halqon mein jo dauDa baadal ke kohsar ka sar chakrane laga

    parda jo uThaya baadal ka dariya pe tabassum dauD gaya

    chilman jo girai badli ki maidan ka dil ghabrane laga

    ubhra to tajalli dauD gai Duba to falak be-nur hua

    uljha to siyahi dauDa di suljha to ziya barsane lage

    kya kawish-e-nur-o-zulmat hai kya qaid hai kya aazadi hai

    insan ki taDapti fitrat ka mafhum samajh mein aane laga

    Source:

    Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 13)

    • Author: Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
      • Edition: 2005
      • Publisher: qaumi council baraye-farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now