Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bagula

MORE BYJan Nisar Akhtar

    juun taptā mahīna timtimātā āftāb

    Dhal chukā hai din ke sāñche meñ jahannam shabāb

    dopahar ik ātish-e-sayyāl barsātī huī

    sīna-e-kohsār meñ laavā pighlātī huī

    vo jhulastī ghaas vo pagDanDiyāñ pāmāl

    nahr ke lab ḳhushk se zarroñ āñkheñ laal

    chilchilātī dhuup meñ maidān ko chaḌhtā buḳhār

    aah ke mānind uThtā halkā halkā ġhubār

    dekh vo maidān meñ hai ik bagūlā be-qarār

    āñdhiyoñ god meñ ho jaise muflis mazār

    chaak par jaise banā.e rahe hoñ zalzale

    junūñ tai kar rahā ho gardishoñ ke marhale

    Dhālnā chāhe zamīñ jis tarah koī āsmāñ

    jaise chakkar khā ke nikle top ke muñh se dhuāñ

    mil rahā ho jis tarah josh-e-baġhāvat ko farāġh

    jañg chhiḌ jaane pe jaise ek leader dimāġh

    ḳhashmgīñ abrū pe Daale ḳhāk-ālūda naqāb

    jañgaloñ raah se aa.e safīr-e-inqalāb

    yuuñ bagūle meñ haiñ tapte surḳh zarre be-qarār

    jis tarah aflās ke dil meñ baġhāvat ke sharār

    kas qadar āzād hai ye rūh-e-sahrā ye bhī dekh

    kas tarah zarroñ meñ hai tūfān barpā ye bhī dekh

    uTh bagūle tarah maidān meñ gaatā nikal

    zindagī ruuh har zarre meñ dauḌātā nikal

    jun ka tapta mahina timtimata aaftab

    Dhal chuka hai din ke sanche mein jahannam ka shabab

    dopahar ek aatish-e-sayyal barsati hui

    sina-e-kohsar mein lawa sa pighlati hui

    wo jhulasti ghas wo pagDanDiyan pamal si

    nahr ke lab KHushk se zarron ki aankhen lal si

    chilchilati dhup mein maidan ko chaDhta buKHar

    aah ke manind uThta halka halka sa ghubar

    dekh wo maidan mein hai ek bagula be-qarar

    aandhiyon ki god mein ho jaise muflis ka mazar

    chaak par jaise banae ja rahe hon zalzale

    ya junun tai kar raha ho gardishon ke marhale

    Dhaalna chahe zamin jis tarah koi aasman

    jaise chakkar kha ke nikle top ke munh se dhuan

    mil raha ho jis tarah josh-e-baghawat ko faragh

    jang chhiD jaane pe jaise ek leader ka dimagh

    KHashmgin abru pe Dale KHak-aluda naqab

    jangalon ki rah se aae safir-e-inqalab

    yun bagule mein hain tapte surKH zarre be-qarar

    jis tarah aflas ke dil mein baghawat ke sharar

    kas qadar aazad hai ye ruh-e-sahra ye bhi dekh

    kas tarah zarron mein hai tufan barpa ye bhi dekh

    uTh bagule ki tarah maidan mein gata nikal

    zindagi ki ruh har zarre mein dauData nikal

    Source:

    meri behtareen nazam (Pg. 48)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now