Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar-e-shabab

Shameem Farooq Banspari

bahaar-e-shabab

Shameem Farooq Banspari

MORE BYShameem Farooq Banspari

    mohtasib ke hosh uḌāne zamāna aa gayā

    be-jhijak piine pilāne zamāna aa gayā

    jām-e-ātish-zer-e-pā oT le kar sāqiyā

    botaloñ meñ Duub jaane zamāna aa gayā

    kā.enāt-e-hosh par kaalī ghaTā.eñ chhā ga.iiñ

    yaum-e-shab-tābī manāne zamāna aa gayā

    phir ḳhayāl-e-āriz-e-tābāñ ne liiñ añgḌā.iyāñ

    raat ko phir din banāne zamāna aa gayā

    mast phāgun ke jilau meñ sar-phire din aa ga.e

    aql ko pāgal banāne zamāna aa gayā

    ye ghaTā.eñ ye bahāreñ aur ye tanhā.iyāñ

    phir kisī ke yaad aane zamāna aa gayā

    mere gulzār-e-tasavvur meñ bahāreñ aa ga.iiñ

    un ko phūloñ meñ basāne zamāna aa gayā

    mehrbāñ ab dosh par āñchal Thahar saktā nahīñ

    valvaloñ ke sar uThāne zamāna aa gayā

    be-sabab chīñ-ba-jabīñ hone ghaḌiyāñ aa ga.iiñ

    be-irāda muskurāne zamāna aa gayā

    josh par aa.ī javānī khil uThe āñchal ke phuul

    aag paanī meñ lagāne zamāna aa gayā

    un zulf-e-ambarīñ ke sāya-e-pur-nūr meñ

    niiñd qismat jagāne zamāna aa gayā

    shāhidān-e-sho.ala-rū ko le uḌā ġhāze shauq

    aag par paanī chaḌhāne zamāna aa gayā

    rūThne vaale ba-pās-e-vaqt-o-ādāb-e-shabāb

    pichhlī bāteñ bhuul jaane zamāna aa gayā

    dāġh-e-dil 'fārūq' dikhlā kar sar-e-bazm-e-jamāl

    in ko ā.īna banāne zamāna aa gayā

    mohtasib ke hosh uDane ka zamana aa gaya

    be-jhijak pine pilane ka zamana aa gaya

    jam-e-atish-zer-e-pa ki oT le kar saqiya

    botalon mein Dub jaane ka zamana aa gaya

    kaenat-e-hosh par kali ghaTaen chha gain

    yaum-e-shab-tabi manane ka zamana aa gaya

    phir KHayal-e-ariz-e-taban ne lin angDaiyan

    raat ko phir din banane ka zamana aa gaya

    mast phagun ke jilau mein sar-phire din aa gae

    aql ko pagal banane ka zamana aa gaya

    ye ghaTaen ye bahaaren aur ye tanhaiyan

    phir kisi ke yaad aane ka zamana aa gaya

    mere gulzar-e-tasawwur mein bahaaren aa gain

    un ko phulon mein basane ka zamana aa gaya

    mehrban ab dosh par aanchal Thahar sakta nahin

    walwalon ke sar uThane ka zamana aa gaya

    be-sabab hi chin-ba-jabin hone ki ghaDiyan aa gain

    be-irada muskurane ka zamana aa gaya

    josh par aai jawani khil uThe aanchal ke phul

    aag pani mein lagane ka zamana aa gaya

    un ki zulf-e-ambarin ke saya-e-pur-nur mein

    nind ki qismat jagane ka zamana aa gaya

    shahidan-e-shoala-ru ko le uDa ghaze ka shauq

    aag par pani chaDhane ka zamana aa gaya

    ruThne wale ba-pas-e-waqt-o-adab-e-shabab

    pichhli baaten bhul jaane ka zamana aa gaya

    dagh-e-dil 'faruq' dikhla kar sar-e-bazm-e-jamal

    in ko aaina banane ka zamana aa gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now