Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiza-e-mahram

Krishna Mohan

baiza-e-mahram

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

    ahd-e-pārīna meñ bhī

    ziist par thā vahm kitnā asar

    ek ‎oracle talqīñ maan kar

    shaah āgastas biivī 'leviyā'

    apnī añgiyā fazā-e-garm meñ rakhtī thī ik marzī anDā roz-o-shab

    is ko ye vishvās thā

    is ke hone vaale bachche aur is chūze jins

    ek hogī āḳhirash yūñhī huā

    āshiyāñ garm-o-shoḳh-o-narm se

    ek nar niklā to us kokh se bhī ek nar paidā huā taibres

    aur phir us ittifāqī vaaq.e ne to zanān-e-rom meñ

    aam kar baiza-e-mahram tarbiyat rasm

    ahd-e-parina mein bhi

    zist par tha wahm ka kitna asar

    ek ‎oracle ki talqin man kar

    shah aagastas ki biwi 'lewiya'

    apni angiya ki faza-e-garm mein rakhti thi ek marzi ka anDa roz-o-shab

    is ko ye wishwas tha

    is ke hone wale bachche aur is chuze ki jins

    ek hogi aaKHirash yunhi hua

    aashiyan garm-o-shoKH-o-narm se

    ek nar nikla to us ki kokh se bhi ek nar paida hua taibres

    aur phir us ittifaqi waqe ne to zanan-e-rom mein

    aam kar di baiza-e-mahram ki tarbiyat ki rasm

    Source:

    Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 194)

    • Author: Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
      • Publisher: Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj,
      • Year of Publication: Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now