Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

banaras

Riyaz Latif

banaras

Riyaz Latif

MORE BYRiyaz Latif

    bhaTaktī huī vaqt ātmā.eñ

    tire ghaaT ke pattharoñ zabāñ se

    yugoñ sadāoñ sūrat ubhar kar

    ghulī rahī hai bujhe pāniyoñ meñ

    tirī saañs shāh-rāhoñ par phūTī

    vahī tañg galiyāñ, vo galiyoñ meñ galiyāñ!

    ki jaise ragoñ bune jaal koī

    jahāñ laakh bhaTko, na koī safar ho

    safar fāsla hai, safar marhala hai

    yahīñ par hayāt aur yahīñ par fanā hai

    isī marhale se isii, fāsle se

    ik imkān ban kar jo bahtā hai paanī

    sabhī apnī apnī qadāmat ke āsār

    dhīre se us meñ bahāne lage haiñ

    sabhī apnī falak-bos tanhā.ī

    tire ufuq par sajāne lage haiñ

    koī raag ḳhāmosh gaane lage haiñ

    muqaddas bayābān, jismoñ ke markaz!

    tirī ruuh ke be-karāñ sard, kone meñ

    sadiyāñ ġhalāzat kiye rahī haiñ

    banāras tirī sab mujarrad adā.eñ

    hasīñ maut kar jiye rahī hai!

    bhaTakti hui waqt ki aatmaen

    tere ghaT ke pattharon ki zaban se

    yugon ki sadaon ki surat ubhar kar

    ghuli ja rahi hai bujhe paniyon mein

    teri sans ki shah-rahon par phuTi

    wahi tang galiyan, wo galiyon mein galiyan!

    ki jaise ragon ka bune jal koi

    jahan lakh bhaTko, na koi safar ho

    safar fasla hai, safar marhala hai

    yahin par hayat aur yahin par fana hai

    isi marhale se isi, fasle se

    ek imkan ban kar jo bahta hai pani

    sabhi apni apni qadamat ke aasar

    dhire se us mein bahane lage hain

    sabhi apni falak-bos tanhai

    tere ufuq par sajaane lage hain

    koi rag KHamosh gane lage hain

    muqaddas bayaban, jismon ke markaz!

    teri ruh ke be-karan sard, kone mein

    sadiyan ghalazat kiye ja rahi hain

    banaras teri sab mujarrad adaen

    hasin maut pa kar jiye ja rahi hai!

    RECITATIONS

    Riyaz Latif

    Riyaz Latif,

    Riyaz Latif

    banaras Riyaz Latif

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now