Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barf ki guDiya

MORE BYDr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'

    barf guḌiyā

    jāntī hai

    dhuup meñ kitnā pasījnā hai

    ThanD meñ kitnā akaḌnā hai

    use batāyā gayā hai guḌiyā hone matlab

    ujlā honā añdheroñ ko khaTaktā hai

    har añdherā use taarā banānā chāhtā hai

    dāman meñ sameTnā

    lekin chāñd tarah māthe par sajānā nahīñ chāhtā

    kyoñ ki aḳhtar-shumārī se mahaz raat kaaTī saktī hai

    din nahīñ

    barf guḌiyā pighalnā chāhtī hai

    vo bāhar aanā chāhtī hai apne vajūd ke sāñche se

    lekin darvāze par baiThe haiñ saare aqdār

    ehtijāj karte hue

    muhājir dast-bardār

    ki agar badal gayā barf rang

    to bhiig jā.egā un kāġhazī pairahan

    barf guḌiyā gar paanī ban kar bhaap ban jā.egī

    tab zamīn use dekhegī

    usī zarūrat nazar se

    barf ki guDiya

    jaanti hai

    dhup mein kitna pasijna hai

    ThanD mein kitna akaDna hai

    use bataya gaya hai guDiya hone ka matlab

    ujla hona andheron ko khaTakta hai

    har andhera use tara banana chahta hai

    daman mein sameTna

    lekin chand ki tarah mathe par sajaana nahin chahta

    kyon ki aKHtar-shumari se mahaz raat kaTi ja sakti hai

    din nahin

    barf ki guDiya pighalna chahti hai

    wo bahar aana chahti hai apne wajud ke sanche se

    lekin darwaze par baiThe hain sare aqdar

    ehtijaj karte hue

    muhajir dast-bardar

    ki agar badal gaya barf ka rang

    to bhig jaega un ka kaghazi pairahan

    barf ki guDiya gar pani ban kar bhap ban jaegi

    tab zamin use dekhegi

    usi zarurat ki nazar se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now