Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barf ki wadi

Hameed Almas

barf ki wadi

Hameed Almas

MORE BYHameed Almas

    barf-ālūda haiñ āñkheñ

    samt pahchān mushkil ho ga.ī

    kis taraf haiñ rāhatoñ ke ābshār

    kin ilāqoñ meñ shajar ābād haiñ

    kaun rasta hai larzāñ

    āñdhiyoñ ke shor se

    haiñ kahāñ husn-e-sadāqat suhānī vādiyāñ

    silsila-dar-silsila kizb-o-riyā ghāTiyāñ

    kis taraf hai aane vaalī sā.atoñ kohsār

    kitne lambe haiñ yahāñ mār-e-nasheb

    kis qadar ūñchī hai dīvār-e-farāz

    maiñ kinār-e-umr se phislūñ to shāyad bachūñ

    aa rahī hai

    lamha lamha

    bū-e-barf

    barf-aluda hain aankhen

    samt ki pahchan mushkil ho gai

    kis taraf hain rahaton ke aabshaar

    kin ilaqon mein shajar aabaad hain

    kaun sa rasta hai larzan

    aandhiyon ke shor se

    hain kahan husn-e-sadaqat ki suhani wadiyan

    silsila-dar-silsila kizb-o-riya ki ghaTiyan

    kis taraf hai aane wali saaton ka kohsar

    kitne lambe hain yahan mar-e-nasheb

    kis qadar unchi hai diwar-e-faraaz

    main kinar-e-umr se phislun to shayad hi bachun

    aa rahi hai

    lamha lamha

    bu-e-barf

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 567)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now