aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bashaarat pani ki

Zubair Rizvi

bashaarat pani ki

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    purānī baat hai

    lekin ye anhonī lagtī hai

    vo sab pyāse the

    mīloñ masāfat se badan behāl thā un

    jahāñ bhī jaate vo dariyāoñ ko sūkhā huā paate

    ajab banjar zamīnoñ safar darpesh thā un ko

    kahīñ paanī na miltā thā

    khajūroñ ke daraḳhtoñ se unhoñ ne uuñT bāñdhe

    aur thak kar so ga.e saare

    unhoñ ne ḳhvāb meñ dekhā

    khajūroñ ke daraḳhtoñ qatāreñ ḳhatm hotī haiñ jahāñ

    paanī chamaktā hai

    vo sab jaage

    har ik jānib tahayyur se nazar Daalī

    vo sab uTThe

    mahāreñ thaam kar hāthoñ meñ ūñToñ

    khujūroñ ke daraḳhtoñ qatāreñ ḳhatm hone meñ na aatī thiiñ

    zabāneñ suukh kar kāñTā huī thiiñ

    aur ūñToñ ke qadam aage na uThte the

    vo sab chīḳhe

    bashārat dene vaale ko sadā

    aur zamīn ko pair se ragḌā

    har ik jānib tahayyur se nazar Daalī

    khujūroñ ke daraḳhtoñ qatāreñ ḳhatm thiiñ

    paanī chamaktā thā!!

    purani baat hai

    lekin ye anhoni si lagti hai

    wo sab pyase the

    milon ki masafat se badan behaal tha un ka

    jahan bhi jate wo dariyaon ko sukha hua pate

    ajab banjar zaminon ka safar darpesh tha un ko

    kahin pani na milta tha

    khajuron ke daraKHton se unhon ne unT bandhe

    aur thak kar so gae sare

    unhon ne KHwab mein dekha

    khajuron ke daraKHton ki qataren KHatm hoti hain jahan

    pani chamakta hai

    wo sab jage

    har ek jaanib tahayyur se nazar Dali

    wo sab uTThe

    mahaaren tham kar hathon mein unTon ki

    khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm hone mein na aati thin

    zabanen sukh kar kanTa hui thin

    aur unTon ke qadam aage na uThte the

    wo sab chiKHe

    bashaarat dene wale ko sada di

    aur zamin ko pair se ragDa

    har ek jaanib tahayyur se nazar Dali

    khujuron ke daraKHton ki qataren KHatm thin

    pani chamakta tha!!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now