bata ai man
Interesting Fact
(بھارت ماتا سے التماس)
sajā.īñ teġh kī dhāroñ pe gardaneñ kis ne
lahū se top ke sho'loñ ko kis ne sard kiyā
rag-e-gulū se kiyā tang kis ne halqa-e-dār
qudūm-e-‘azm se kaaTī thiiñ beḌiyāñ kis ne
amīr-e-qāfila-e-nāz-e-eqtidār hai kaun
shahīd kaun mujāvir sar-e-mazār hai kaun
vo jis ne apne chahītoñ ke sar qalam dekhe
vo jis ne lāDloñ ko daar par khiñchā paayā
vo jis ne qaid meñ kholā mahāz-e-āzādī
vo apne taḳht ko qurbān kar diyā jis ne
ki jis ne ġhair se asrār kā kiyā saudā
ki jis ne qaum ke hisse kī roTiyāñ khā liiñ
ki jis ne ḳhuun bahāyā ‘adam-tashaddud kā
ki jis ne zo'm-e-siyāsat meñ qatl-e-'ām kiyā
ki vo jo qatl huā bar-binā-e-jurm-e-vafā
ki vo jo likhtā rahā apne ḳhuuñ se naġhma-e-amn
ki vo jo ‘azmat-e-qaumī kā pāsdār rahā
ki vo jo bhūkā rahā aur jo bikā bhī nahīñ
zalīl kaun hai terī nazar meñ ḳhvār hai kaun
batā de maañ tirī mamtā kā qarz-dār hai kaun
sajain tegh ki dhaaron pe gardanen kis ne
lahu se top ke sho'lon ko kis ne sard kiya
rag-e-gulu se kiya tang kis ne halqa-e-dar
qudum-e-‘azm se kaTi thin beDiyan kis ne
amir-e-qafila-e-naz-e-eqtidar hai kaun
shahid kaun mujawir sar-e-mazar hai kaun
wo jis ne apne chahiton ke sar qalam dekhe
wo jis ne laDlon ko dar par khincha paya
wo jis ne qaid mein khola mahaz-e-azadi
wo apne taKHt ko qurban kar diya jis ne
ki jis ne ghair se asrar ka kiya sauda
ki jis ne qaum ke hisse ki roTiyan kha lin
ki jis ne KHun bahaya ‘adam-tashaddud ka
ki jis ne zo'm-e-siyasat mein qatl-e-'am kiya
ki wo jo qatl hua bar-bina-e-jurm-e-wafa
ki wo jo likhta raha apne KHun se naghma-e-amn
ki wo jo ‘azmat-e-qaumi ka pasdar raha
ki wo jo bhuka raha aur jo bika bhi nahin
zalil kaun hai teri nazar mein KHwar hai kaun
bata de man teri mamta ka qarz-dar hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.