Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

batao to sahi

Mehdi Pratapgarhi

batao to sahi

Mehdi Pratapgarhi

MORE BYMehdi Pratapgarhi

    bhaap paanī ko banāne vaalī qudrat kis hai

    bādaloñ se paanī barsāne meñ hikmat kis hai

    kaun is murda zamīñ se phal ugātā hai batāo

    miltī hai jo roz ham sab ko vo ne'mat kis hai

    kaun añdhere hai ḳhāliq kis ne din raushan kiyā

    roz-o-shab kis ne banā.e den hai kis havā

    aag ko quvvat jalāne 'atā kartā hai kaun

    gul khilāne ke liye kis ne banā.ī hai sabā

    kis hikmat hai ki chaltā hai nizām-e-zindagī

    kaun paidā kartā hai zehn-e-bashar meñ raushnī

    parvarish karvā.ī kis ne nanhe bachchoñ batāo

    baap ko kis ne shafqat maañ ko mamtā kis ne

    bhap pani ko banane wali qudrat kis ki hai

    baadalon se pani barsane mein hikmat kis ki hai

    kaun is murda zamin se phal ugata hai batao

    milti hai jo roz hum sab ko wo ne'mat kis ki hai

    kaun andhere ka hai KHaliq kis ne din raushan kiya

    roz-o-shab kis ne banae den hai kis ki hawa

    aag ko quwwat jalane ki 'ata karta hai kaun

    gul khilane ke liye kis ne banai hai saba

    kis ki hikmat hai ki chalta hai nizam-e-zindagi

    kaun paida karta hai zehn-e-bashar mein raushni

    parwarish karwai kis ne nanhe bachchon ki batao

    bap ko di kis ne shafqat man ko mamta kis ne di

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now