aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saughat

Daud Ghazi

saughat

Daud Ghazi

MORE BYDaud Ghazi

    maiñ to hairān huuñ kis tarah kaTe rāh-e-hayāt

    ik nayā moḌ bahar-gām ubhar aatā hai

    sar-e-tārīkī-e-shab khul jo gayā āḳhir-e-shab

    phir nayā raaz ba-har-sub.h nikhar aatā hai

    jāñchtā phirtā huuñ maazī ke khañDar hasrat se

    dekhtā phirtā huuñ har naqsh-e-hasīñ hairat se

    sochtā phirtā huuñ kaun aayā thā kab aayā thā

    us jagah saath liye kāvish-e-takmīl-e-hayāt

    DhūñDhtā phirtā huuñ shāyad ki ye maazī ke nuqūsh

    kuchh patā deñ ki shab roz batā.ūñ kyūñkar

    ġham ke qābil maiñ ḳhud apne ko banā.ūñ kyūñkar

    nit na.e ġham ke girāñ-bār uThā.ūñ kyūñkar

    duur ik husn panchhī nazar aatā hai

    qaid kar luuñ use shāyad ki bahal jaa.e ye dil

    dil āvāz thakī-hārī fasurda bojhal

    jis ne taḳh.īl duniyā meñ machā halchal

    maiñ koī tifl nahīñ huuñ ki bahal jā.ūñgā

    na karo qaid mujhe husn ke bahlāoñ meñ

    ik nazar jhāñk ke dekho mirī āshāoñ meñ

    tum ḳhud sharm se ho jāoge paanī paanī

    ek bebas ko magar dete ho kyuuñ aisā fareb

    ab maiñ kis rah meñ ġham-e-dil mudāvā DhūñDūñ

    an-ginat fikr rāheñ nazar aatī haiñ mujhe

    ik nayā moḌ ba-har-gām ubhar aatā hai

    aur har moḌ nazar aatā hai kitnā dilkash

    jannat-e-qalb-o-nazar chāñd-sitāroñ jahāñ

    jaise andāz-e-sabā jaise bahāroñ jahāñ

    jaise jaadū bhare nainoñ ke nigāroñ jahāñ

    jaise ma.asūm nigāhoñ meñ ishāroñ jahāñ

    jaise phūloñ bharī shāḳhoñ pe sharāroñ jahāñ

    uf maiñ kis rah meñ ġham-e-dil mudāvā DhūñDūñ

    kis taraf jā.ūñ kise dil se lagā.e rakkhūñ

    zindagī bhar ki phir us ziist ko jannat samjhūñ

    har-dam ek ek nafas chāhe jidhar ke rahūñ

    kaun is ziist ko kar saktā hai mahdūd-o-muqīm

    us ek ek adā barq-sifat sho.ala-nafas

    rahā huuñ na.ī ummīd liye har ik pal

    ġham liye dil meñ ki maiñ kyā na banā kyuuñ na banā

    ḳhush huuñ har ġham se ki idrāk sauġhāt hai ye

    soch letā huuñ ki maiñ kyā huuñ yahī kyā kam hai

    main to hairan hun kis tarah kaTe rah-e-hayat

    ek naya moD bahar-gam ubhar aata hai

    sar-e-tariki-e-shab khul jo gaya aaKHir-e-shab

    phir naya raaz ba-har-subh nikhar aata hai

    jaanchta phirta hun mazi ke khanDar hasrat se

    dekhta phirta hun har naqsh-e-hasin hairat se

    sochta phirta hun kaun aaya tha kab aaya tha

    us jagah sath liye kawish-e-takmil-e-hayat

    DhunDhta phirta hun shayad ki ye mazi ke nuqush

    kuchh pata den ki shab roz bataun kyunkar

    gham ke qabil main KHud apne ko banaun kyunkar

    nit nae gham ke giran-bar uThaun kyunkar

    dur ek husn ka panchhi sa nazar aata hai

    qaid kar lun use shayad ki bahal jae ye dil

    dil ki aawaz thaki-haari fasurda bojhal

    jis ne taKHil ki duniya mein macha di halchal

    main koi tifl nahin hun ki bahal jaunga

    na karo qaid mujhe husn ke bahlaon mein

    ek nazar jhank ke dekho meri aashaon mein

    tum hi KHud sharm se ho jaoge pani pani

    ek bebas ko magar dete ho kyun aisa fareb

    ab main kis rah mein gham-e-dil ka mudawa DhunDun

    an-ginat fikr ki rahen nazar aati hain mujhe

    ek naya moD ba-har-gam ubhar aata hai

    aur har moD nazar aata hai kitna dilkash

    jannat-e-qalb-o-nazar chand-sitaron ka jahan

    jaise andaz-e-saba jaise bahaaron ka jahan

    jaise jadu bhare nainon ke nigaron ka jahan

    jaise masum nigahon mein ishaaron ka jahan

    jaise phulon bhari shaKHon pe shararon ka jahan

    uf main kis rah mein gham-e-dil ka mudawa DhunDun

    kis taraf jaun kise dil se lagae rakkhun

    zindagi bhar ki phir us zist ko jannat samjhun

    har-dam ek ek nafas chahe jidhar ja ke rahun

    kaun is zist ko kar sakta hai mahdud-o-muqim

    us ki ek ek ada barq-sifat shoala-nafas

    ji raha hun nai ummid liye har ek pal

    gham liye dil mein ki main kya na bana kyun na bana

    KHush hun har gham se ki idrak ki saughat hai ye

    soch leta hun ki main kya hun yahi kya kam hai

    Source:

    Waqt Ki Sadiyan (Pg. 44)

    • Author: Daud Ghazi
      • Edition: 1970
      • Publisher: Kokan Urdu Writers Guild, Kenya
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now