be-ruKHi
raat
bārish
phuul aur intizār
merī bhāshā meñ istriyoñ ke naam haiñ
kyā farq paḌtā hai jo kahī bhī rahūñ
tumhārī saarī muskurāhaTeñ
tasvīroñ meñ qaid hoñ
pahuñch rahī haiñ mere paas
aisā lag rahā dhartī par do hī log be-rozgār haiñ
ek maiñ aur dūsrā shāyad vo aa.ina
jis meñ āj-kal
tum kam dekhā kartī ho
raat
barish
phul aur intizar
meri bhasha mein istriyon ke nam hain
kya farq paDta hai jo kahi bhi rahun
tumhaari sari muskurahaTen
taswiron mein qaid hon
pahunch rahi hain mere pas
aisa lag raha dharti par do hi log be-rozgar hain
ek main aur dusra shayad wo aaina
jis mein aaj-kal
tum kam dekha karti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.