Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-talab

Mahmooda Ghaziya

be-talab

Mahmooda Ghaziya

MORE BYMahmooda Ghaziya

    maiñ ḳhvāhishoñ se apnā haath nahīñ khīñch saktī

    jab tak ḳhvāhisheñ mujh se na khīñch jaa.eñ

    ye kaafī hai aur mere liye sab

    merī gardan par mere mahbūb chehra sajā do

    merī ruuh ko āzād ho jaane do

    ye bhī kaafī hai aur mere liye bahut hai

    maiñ us ḳhvāhish se kuchh kam huuñ zarā ziyāda

    zāhir hai gard mujhe chhupā letī hai

    merī ruuh mere hoñToñ par hai

    uḌne ke liye be-tāb

    kyā us ke hoñT mujhe amn sabaq deñge?

    aur ye bhī mere liye bahut hai

    main KHwahishon se apna hath nahin khinch sakti

    jab tak KHwahishen mujh se na khinch jaen

    ye kafi hai aur mere liye sab

    meri gardan par mere mahbub ka chehra saja do

    ya meri ruh ko aazad ho jaane do

    ye bhi kafi hai aur mere liye bahut hai

    main us ki KHwahish se kuchh kam hun ya zara ziyaada

    zahir hai gard mujhe chhupa leti hai

    meri ruh mere honTon par hai

    uDne ke liye be-tab

    kya us ke honT mujhe amn ka sabaq denge?

    aur ye bhi mere liye bahut hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now