be-zaban
ham ek paañv pe haiñ zer-e-sā.ebān khaḌe
hamāre ghar meñ bhī rahte haiñ mehmān khaḌe
karo na hind meñ baat ittihād-e-millat kī
ki is se hote haiñ amrikiyoñ ke kaan khaḌe
milā hai sab ko election meñ hukm-e-sarkārī
vahāñ pe shaiḳh na baiTheñ jahāñ haiñ ḳhaan khaḌe
maiñ piiTā jaatā huuñ jab dushmanoñ ke hāthoñ se
tamāsha dekhte haiñ mere mehrbān khaḌe
kareñge va.ada zabāñ kā jab aa.egā number
usī tarah raheñ line meñ be-zabān khaḌe
hum ek panw pe hain zer-e-saeban khaDe
hamare ghar mein bhi rahte hain mehman khaDe
karo na hind mein baat ittihad-e-millat ki
ki is se hote hain amrikiyon ke kan khaDe
mila hai sab ko election mein hukm-e-sarkari
wahan pe shaiKH na baiThen jahan hain KHan khaDe
main piTa jata hun jab dushmanon ke hathon se
tamasha dekhte hain mere mehrban khaDe
karenge wada zaban ka jab aaega number
usi tarah rahen line mein be-zaban khaDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.