begangi
lauh-e-tārīk par āb-e-mahtāb se ik kahānī ke anjām meñ do siroñ ko milāte hue
apnī bīnā.ī khotā huā
apnā sar noch khātā huā
uñgliyoñ ko na.e rang se āshnā kar rahā hai
to kyā
in siroñ meñ na.e rang paḌne se
in kī masāfat meñ koī kamī aa.egī
qahqaha
ashk-rezī
ḳhushī
aur
ġham
saare jazboñ se begāngī kā shubah
mū-qalam sāz-e-hairat pe thirkan dikhāne lagā
kyā huā
bo'd-o-dūrī masāfat zamān-o-makāñ
ik safsita hai kullī safsita jahāñ-zādoñ kā
tum ḳhayāl-e-masāfat ko qurbat kī shamshīr se
chiir do
aur masāfat ke ḳhāne meñ hairat bharo
bo'd miT jā.egā
qurb mil jā.egā
lauh-e-tarik par aab-e-mahtab se ek kahani ke anjam mein do siron ko milate hue
apni binai khota hua
apna sar noch khata hua
ungliyon ko nae rang se aashna kar raha hai
to kya
in siron mein nae rang paDne se
in ki masafat mein koi kami aaegi
qahqaha
ashk-rezi
KHushi
aur
gham
sare jazbon se begangi ka shubah
mu-qalam saz-e-hairat pe thirkan dikhane laga
kya hua
bo'd-o-duri masafat zaman-o-makan
ek safsita hai kulli safsita jahan-zadon ka
tum KHayal-e-masafat ko qurbat ki shamshir se
chir do
aur masafat ke KHane mein hairat bharo
bo'd miT jaega
qurb mil jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.