26 january
aao ki aaj ġhaur kareñ is savāl par
dekhe the ham ne jo vo hasīñ ḳhvāb kyā hue
daulat baḌhī to mulk meñ iflās kyuuñ baḌhā
ḳhush-hālī-e-avām ke asbāb kyā hue
jo apne saath saath chale ku-e-dār tak
vo dost vo rafīq vo ahbāb kyā hue
kyā mol lag rahā hai shahīdoñ ke ḳhuun kā
marte the jin pe ham vo sazā-yāb kyā hue
be-kas barahnagī ko kafan tak nahīñ nasīb
vo va.ada-hā-e-atlas-o-kim-ḳhvāb kyā hue
jamhūriyat-navāz bashar-dost amn-ḳhvāh
ḳhud ko jo ḳhud diye the vo alqāb kyā hue
maz.hab kā rog aaj bhī kyuuñ lā-'ilāj hai
vo nusḳha-hā-e-nādir-o-nāyāb kyā hue
har kūcha sho'la-zār hai har shahr qatl-gāh
yak-jehtī-e-hayāt ke ādāb kyā hue
sahrā-e-tīrgī meñ bhaTaktī hai zindagī
ubhre the jo ufuq pe vo mahtāb kyā hue
mujrim huuñ maiñ agar to gunahgār tum bhī ho
ai rahbarān-e-qaum ḳhatā-kār tum bhī ho
aao ki aaj ghaur karen is sawal par
dekhe the hum ne jo wo hasin KHwab kya hue
daulat baDhi to mulk mein iflas kyun baDha
KHush-haali-e-awam ke asbab kya hue
jo apne sath sath chale ku-e-dar tak
wo dost wo rafiq wo ahbab kya hue
kya mol lag raha hai shahidon ke KHun ka
marte the jin pe hum wo saza-yab kya hue
be-kas barahnagi ko kafan tak nahin nasib
wo wada-ha-e-atlas-o-kim-KHwab kya hue
jamhuriyat-nawaz bashar-dost amn-KHwah
KHud ko jo KHud diye the wo alqab kya hue
mazhab ka rog aaj bhi kyun la-'ilaj hai
wo nusKHa-ha-e-nadir-o-nayab kya hue
har kucha sho'la-zar hai har shahr qatl-gah
yak-jehti-e-hayat ke aadab kya hue
sahra-e-tirgi mein bhaTakti hai zindagi
ubhre the jo ufuq pe wo mahtab kya hue
mujrim hun main agar to gunahgar tum bhi ho
ai rahbaran-e-qaum KHata-kar tum bhi ho
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 216)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.