Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

beTi ki daswen salgirah par

Basir Sultan Kazmi

beTi ki daswen salgirah par

Basir Sultan Kazmi

MORE BYBasir Sultan Kazmi

    mirī achchhī vajīha

    maiñ tujh se ḳhush huuñ itnā

    ki aksar sochtā huuñ

    agar tujh ko zamīñ par bhejne se pahle

    ḳhāliq mujh se kahtā

    ki chun le un hazāroñ lākhoñ bachchoñ meñ se

    ik apne liye

    to maiñ tujhe muntaḳhab kartā

    maiñ ḳhush-qismat huuñ kitnā

    duā-go huuñ

    sadā jiitī rahe

    aur aisī achchhī rahe

    meri achchhi wajiha

    main tujh se KHush hun itna

    ki aksar sochta hun

    agar tujh ko zamin par bhejne se pahle

    KHaliq mujh se kahta

    ki chun le un hazaron lakhon bachchon mein se

    ek apne liye

    to main tujhe hi muntaKHab karta

    main KHush-qismat hun kitna

    dua-go hun

    sada jiti rahe

    aur aisi hi achchhi rahe tu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now