Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhag-mati

Makhdoom Mohiuddin

bhag-mati

Makhdoom Mohiuddin

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    Interesting Fact

    Bhaagmati was Quli Qutub Shah's fictitious beloved. A city named Bhag Nagar was founded after her name which was later known as Hyderabad.

    pyaar se aañkh bhar aatī hai kañval khilte haiñ

    jab kabhī lab pe tirā nām-e-vafā aatā hai

    dasht raat meñ bārāt yahīñ se niklī

    raag rañg barsāt yahīñ se niklī

    inqilābāt har baat yahīñ se niklī

    gungunātī huī har raat yahīñ se niklī

    dhan ghanghor ghaTā.eñ haiñ na hun ke bādal

    sone chāñdī ke galī-kūche na hīroñ ke mahal

    aaj bhī jism ke ambār haiñ bāzāroñ meñ

    ḳhvāja-e-shahr hai yūsuf ke ḳharīdāroñ meñ

    shahr baaqī hai mohabbat nishāñ baaqī hai

    dilbarī baaqī hai dil-dāri-e-jāñ baaqī hai

    sar-e-fahrist nigārān-e-jahāñ baaqī hai

    nahīñ hai tirī chashm-e-nigarāñ baaqī hai

    pyar se aankh bhar aati hai kanwal khilte hain

    jab kabhi lab pe tera nam-e-wafa aata hai

    dasht ki raat mein baraat yahin se nikli

    rag ki rang ki barsat yahin se nikli

    inqilabaat ki har baat yahin se nikli

    gungunati hui har raat yahin se nikli

    dhan ki ghanghor ghaTaen hain na hun ke baadal

    sone chandi ke gali-kuche na hiron ke mahal

    aaj bhi jism ke ambar hain bazaron mein

    KHwaja-e-shahr hai yusuf ke KHaridaron mein

    shahr baqi hai mohabbat ka nishan baqi hai

    dilbari baqi hai dil-dari-e-jaan baqi hai

    sar-e-fahrist nigaran-e-jahan baqi hai

    tu nahin hai teri chashm-e-nigaran baqi hai

    Source:

    Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 177)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd.
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now