Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhagalpur-2

Kahkashan Tabassum

bhagalpur-2

Kahkashan Tabassum

MORE BYKahkashan Tabassum

    ye tirī shakl hai ki chāñd raushan chehra

    ye sitāre

    tirī āñkhoñ se damakte kyuuñ haiñ

    ye tirī shoḳh adāoñ

    sanaktī purvā

    jo mire sar se dupaTTe ko girā detī hai

    ḳhushk bāloñ ko zarā aur uḌā detī hai

    ye tirī yaad ke jugnū haiñ

    ki shabnam qatre

    jis se be-ḳhvāb nigāhoñ

    zamīñ giilī hai

    koī aahaT na dastak ki galī suunī hai

    gar mujhe

    vaqt ke tevar patā jo hotā

    ghar dahlīz se bāhar nahīñ jaane detī

    saare darvāzoñ

    darīchoñ ko muqaffal rakhtī

    suunī āñkhoñ meñ chhupā letī maiñ

    kājal tarah

    apnī bāñhoñ ke hisāroñ meñ muqayyad rakhtī

    mire bachche

    jo mujhe kaash ḳhabar ye hotī

    ek do pal meñ mirā shahr hai jalne vaalā

    ye teri shakl hai ki chand ka raushan chehra

    ye sitare

    teri aankhon se damakte kyun hain

    ye teri shoKH adaon si

    sanakti purwa

    jo mere sar se dupaTTe ko gira deti hai

    KHushk baalon ko zara aur uDa deti hai

    ye teri yaad ke jugnu hain

    ki shabnam qatre

    jis se be-KHwab nigahon ki

    zamin gili hai

    koi aahaT na hi dastak ki gali suni hai

    gar mujhe

    waqt ke tewar ka pata jo hota

    ghar ki dahliz se bahar nahin jaane deti

    sare darwazon

    darichon ko muqaffal rakhti

    suni aankhon mein chhupa leti main

    kajal ki tarah

    apni banhon ke hisaron mein muqayyad rakhti

    mere bachche

    jo mujhe kash KHabar ye hoti

    ek do pal mein mera shahr hai jalne wala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now