Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhaarat ki adaen

Mohammad Shafiuddin Nayyar

bhaarat ki adaen

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    ik duniyā ko taḌpātī haiñ jānāna adā.eñ bhārat

    par dil par choT lagātī haiñ pur-dard sadā.eñ bhārat

    vo is zamīñ vo is falak vo chāñd vo sūraj chamak

    vo tāroñ bāham chashmak dilkash vo fazā.eñ bhārat

    āñkhoñ ko ThanDak detī haiñ man chintā har letī haiñ

    ākāsh pe jab chhā jaatī haiñ ghanghor ghaTā.eñ bhārat

    ik baar yahāñ jo aatā hai bas bhārat ho jaatā hai

    har dil jot jagātī haiñ rangīn fazā.eñ bhārat

    bhārat-bāsī izzat paa.eñ phir in ke achchhe din aa.e

    is ik maqsad par mil jaa.eñ jitnī haiñ sabhā.eñ bhārat

    phir aish-o-tarab ke saaz bajeñ phir des ko apne bhaag lageñ

    phir ek-ik kar ke puurī hoñ saarī ichhā.eñ bhārat

    duniyā ke hilā.e hil na sakeñ duniyā ke miTā.e miT na sakeñ

    kuchh aisī haiñ kuchh aisī haiñ mazbūt binā.eñ bhārat

    'nayyar' ham apnī ḳhidmat se firdaus banā deñ bhārat ko

    phir is duniyā meñ az-sar-e-nau ham qadr baḌhā.eñ bhārat

    ek duniya ko taDpati hain jaanana adaen bhaarat ki

    par dil par choT lagati hain pur-dard sadaen bhaarat ki

    wo is ki zamin wo is ka falak wo chand ki wo suraj ki chamak

    wo taron ki baham chashmak dilkash wo fazaen bhaarat ki

    aankhon ko ThanDak deti hain man ki chinta har leti hain

    aakash pe jab chha jati hain ghanghor ghaTaen bhaarat ki

    ek bar yahan jo aata hai bas bhaarat ka ho jata hai

    har dil ki jot jagati hain rangin fazaen bhaarat ki

    bhaarat-basi izzat paen phir in ke achchhe din aae

    is ek maqsad par mil jaen jitni hain sabhaen bhaarat ki

    phir aish-o-tarab ke saz bajen phir des ko apne bhag lagen

    phir ek-ik kar ke puri hon sari ichhaen bhaarat ki

    duniya ke hilae hil na saken duniya ke miTae miT na saken

    kuchh aisi hain kuchh aisi hain mazbut binaen bhaarat ki

    'nayyar' hum apni KHidmat se firdaus bana den bhaarat ko

    phir is duniya mein az-sar-e-nau hum qadr baDhaen bhaarat ki

    Source:

    (Pg. 57)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now