Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhae kabir udas

Habib Jalib

bhae kabir udas

Habib Jalib

MORE BYHabib Jalib

    ik paTrī par sardī meñ apnī taqdīr ko ro.e

    duujā zulfoñ chhāñv meñ sukh sej pe so.e

    rāj-siñghāsan par ik baiThā aur ik us daas

    bha.e kabīr udaas

    ūñche ūñche aivānoñ meñ mūrakh hukm chalā.eñ

    qadam qadam par is nagrī meñ panDit dhakke khā.eñ

    dhartī par bhagvān bane haiñ dhan hai jin ke paas

    bha.e kabīr udaas

    giit likhā.eñ paise deñ film nagar ke log

    un ke ghar baaje shahnā.ī lekhak ke ghar sog

    gaa.ek sur meñ kyuuñ kar gaa.e kyuuñ kaaTe ghaas

    bha.e kabīr udaas

    kal tak thā jo haal hamārā haal vahī hai aaj

    'jālib' apne des meñ sukh kaal vahī hai aaj

    phir bhī mochī-gate pe leader roz kareñ bakvās

    bha.e kabīr udaas

    ek paTri par sardi mein apni taqdir ko roe

    duja zulfon ki chhanw mein sukh ki sej pe soe

    raj-singhasan par ek baiTha aur ek us ka das

    bhae kabir udas

    unche unche aiwanon mein murakh hukm chalaen

    qadam qadam par is nagri mein panDit dhakke khaen

    dharti par bhagwan bane hain dhan hai jin ke pas

    bhae kabir udas

    git likhaen paise na den film nagar ke log

    un ke ghar baje shahnai lekhak ke ghar sog

    gaek sur mein kyun kar gae kyun na kaTe ghas

    bhae kabir udas

    kal tak tha jo haal hamara haal wahi hai aaj

    'jalib' apne des mein sukh ka kal wahi hai aaj

    phir bhi mochi-gate pe leader roz karen bakwas

    bhae kabir udas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now