Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhanwar bhi hai kinara

Sufi Tabassum

bhanwar bhi hai kinara

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    kashtī bharosa na khivaiyye sahārā

    himmat ke shanāvar ko bhañvar bhī hai kinārā

    himmat ho to tūfān-e-balā-ḳhez hai kyā chiiz

    himmat ho to phir yās-e-ġham-añgez hai kyā chiiz

    maujoñ talātum hai ummīdoñ nazārā

    kashtī bharosa na khivaiyye sahārā

    himmat ke shanāvar ko bhañvar bhī hai kinārā

    himmat meñ milā kartī haiñ mushkil ko panāheñ

    himmat meñ khulā kartī haiñ tadbīr rāheñ

    himmat se palaT jaatā hai taqdīr dhārā

    kashtī bharosa na khivaiyye sahārā

    himmat ke shanāvar ko bhañvar bhī hai kinārā

    himmat se añdheroñ meñ ubharte haiñ ujāle

    himmat se chamakte haiñ sañvarte haiñ ujāle

    himmat hai navedoñ daraḳhshanda ishārā

    kashtī bharosa na khivaiyye sahārā

    himmat ke shanāvar ko bhañvar bhī hai kinārā

    har fard hai is mulk izzat muhāfiz

    har fard hai is des azmat muhāfiz

    har fard hai is qaum qismat sitāra

    kashtī bharosa na khivaiyye sahārā

    himmat ke shanāvar ko bhañvar bhī hai kinārā

    kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara

    himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara

    himmat ho to tufan-e-bala-KHez hai kya chiz

    himmat ho to phir yas-e-gham-angez hai kya chiz

    maujon ka talatum hai ummidon ka nazara

    kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara

    himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara

    himmat mein mila karti hain mushkil ko panahen

    himmat mein khula karti hain tadbir ki rahen

    himmat se palaT jata hai taqdir ka dhaara

    kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara

    himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara

    himmat se andheron mein ubharte hain ujale

    himmat se chamakte hain sanwarte hain ujale

    himmat hai nawedon ka daraKHshanda ishaara

    kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara

    himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara

    har fard hai is mulk ki izzat ka muhafiz

    har fard hai is des ki azmat ka muhafiz

    har fard hai is qaum ki qismat ka sitara

    kashti ka bharosa na khiwaiyye ka sahaara

    himmat ke shanawar ko bhanwar bhi hai kinara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now