Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhikaran

MORE BYMaikash Akbarabadi

    poplā muñh hil rahā hai jhurriyoñ ke saath saath

    bojh lāThī liye tharrā rahā hai narm haath

    malgajī saaḌī ke dāman meñ hai thailī paan

    sah rahī hai gāliyāñ dahlīz par darbān

    yaas se jhuktī hai darvāze se Takrā kar nazar

    māñgtī hai ek paisa vo bhī allah naam par

    is jahāñ meñ koī us pālne vaalā nahīñ

    us ke muñh meñ ik nivāla Dālne vaalā nahīñ

    sang-dil duniyā meñ qismat kalī khiltī nahīñ

    us ko zillat ke sile meñ bhiik bhī miltī nahīñ

    popla munh hil raha hai jhurriyon ke sath sath

    bojh laThi ka liye tharra raha hai narm hath

    malgaji saDi ke daman mein hai thaili pan ki

    sah rahi hai galiyan dahliz par darban ki

    yas se jhukti hai darwaze se Takra kar nazar

    mangti hai ek paisa wo bhi allah nam par

    is jahan mein koi us ka palne wala nahin

    us ke munh mein ek niwala Dalne wala nahin

    sang-dil duniya mein qismat ki kali khilti nahin

    us ko zillat ke sile mein bhik bhi milti nahin

    Source:

    Maikhana (Pg. E-68 B-53)

    • Author: Maikash Akbarabadi
      • Edition: 1974
      • Publisher: Vila Academy, Hyderabad
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now