bhopal
badr-e-kāmil hai sitāroñ kī ridā bhopal hai
ik hasīñ ke dast-e-nāzuk kī hinā bhopal hai
chāhe jis ruḳh se bhī dekheñ ḳhushnumā bhopal hai
sach to ye hai ab bhī faḳhr-e-mālvā bhopal hai
duur tak phaile pahāḌī silsiloñ ke zer-o-bam
jaise ik mauj-e-talātum par basā bhopal hai
is ke tālāboñ meñ jaise shaam sonā ghol de
sub.h jaise ek chāñdī kī qabā bhopal hai
sochiye to reshmī āñchal sā lahrātā huā
dekhiye to sabz pattoñ se ghirā bhopal hai
jis ne is kā husn dekhā is kā dīvāna huā
sach to ye hai aaj bhī kāfir adā bhopal hai
ḳhushk peḌoñ par bhī rahtī haiñ yahāñ shādābiyāñ
jaane kin hoñToñ kī māñgī ik du'ā bhopal hai
shā'irī ho 'ilm-o-hikmat ho ki ho bazm-e-tarab
silsila dar silsila dar silsila bhopal hai
guftugū she'r-o-adab par dostoñ kī mahfileñ
shahar meñ gar ye na hoñ to be-mazā bhopal hai
hind ke naqshe pe ik ḳhitta numāyāñ dekh kar
us ne pūchhā kyā hai ye maiñ ne kahā bhopal hai
maiñ kabhī thā kānpurī thā kabhī sandelvī
ab to muddat se 'ziyā' merā pata bhopal hai
badr-e-kaamil hai sitaron ki rida bhopal hai
ek hasin ke dast-e-nazuk ki hina bhopal hai
chahe jis ruKH se bhi dekhen KHushnuma bhopal hai
sach to ye hai ab bhi faKHr-e-malwa bhopal hai
dur tak phaile pahaDi silsilon ke zer-o-bam
jaise ek mauj-e-talatum par basa bhopal hai
is ke talabon mein jaise sham sona ghol de
subh jaise ek chandi ki qaba bhopal hai
sochiye to reshmi aanchal sa lahraata hua
dekhiye to sabz patton se ghira bhopal hai
jis ne is ka husn dekha is ka diwana hua
sach to ye hai aaj bhi kafir ada bhopal hai
KHushk peDon par bhi rahti hain yahan shadabiyan
jaane kin honTon ki mangi ek du'a bhopal hai
sha'iri ho 'ilm-o-hikmat ho ki ho bazm-e-tarab
silsila dar silsila dar silsila bhopal hai
guftugu she'r-o-adab par doston ki mahfilen
shahar mein gar ye na hon to be-maza bhopal hai
hind ke naqshe pe ek KHitta numayan dekh kar
us ne puchha kya hai ye main ne kaha bhopal hai
main kabhi tha kanpuri tha kabhi sandelwi
ab to muddat se 'ziya' mera pata bhopal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.