Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhuk

MORE BYShahnaz Nabi

    ek khā.ūñ

    do khā.ūñ

    tiin khā.ūñ

    sunñe vaale shaiḳh-chillī ye baat hañsī meñ Taal ga.e

    tāham us ne dajla-o-furāt paanī piyā

    aur abbāsiyoñ ke ugaa.e hue anaaj se banī roTī khaa.ī

    ek ek luqma halaq se utārte hue

    dūsrī roTī par jhapTā

    ek khā.ūñ

    do khā.ūñ

    tiin khā.ūñ

    saarī duniyā chaukannī thī lekin ḳhāmosh

    chañd billiyāñ ġhurrā.īñ

    to un ke sāmne kuchh TukḌe Daal diye ga.e

    amn-e-ālam baqā ke liye

    shaiḳh-chillī nazar ab tīsrī roTī par hai

    us anaaj kahāñ se aayā

    kin dariyāoñ ne use gūñdhā

    aañch kis chūlhe lagtī hai

    tavā kis lohe banā hai

    shaiḳh-chillī bhuuk baḌhtī rahī hai

    sunñe vaale us baat ab hañsī meñ nahīñ Tālte

    balki sahm jaate haiñ aur sochte haiñ

    vo chauthī roTī kaun hai

    jo shaiḳh-chillī luqma banñe vaalī hai

    ek khaun

    do khaun

    ya tin khaun

    sunne wale shaiKH-chilli ki ye baat hansi mein Tal gae

    taham us ne dajla-o-furaat ka pani piya

    aur abbasiyon ke ugae hue anaj se bani roTi khai

    ek ek luqma halaq se utarte hue

    dusri roTi par jhapTa

    ek khaun

    do khaun

    ya tin khaun

    sari duniya chaukanni thi lekin KHamosh

    chand billiyan ghurrain

    to un ke samne kuchh TukDe Dal diye gae

    amn-e-alam ki baqa ke liye

    shaiKH-chilli ki nazar ab tisri roTi par hai

    us ka anaj kahan se aaya

    kin dariyaon ne use gundha

    aanch kis chulhe ki lagti hai

    tawa kis lohe ka bana hai

    shaiKH-chilli bhuk baDhti hi ja rahi hai

    sunne wale us ki baat ab hansi mein nahin Talte

    balki sahm jate hain aur sochte hain

    wo chauthi roTi kaun si hai

    jo shaiKH-chilli ka luqma banne wali hai

    Source:

    (Pg. 162)

    • Author: Shahnaz Nabi
      • Publisher: M K Offsete Press,Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now