bichhaD chuke hain
so tai huā ki bichhaḌ chuke haiñ
faqat dikhāvā haiñ sard aa.heñ
jo aag donoñ taraf barābar lagī huī thī
vo bujh chukī hai
ukhaḌ chukā hai vo saañs jis se
hayāt the rābte hamāre
judā haiñ ab rāste hamāre
masāfateñ ḳhatm ho chukī haiñ
barā.e-duniyā hai rāh-gardī
muravvatan haiñ muravvateñ bhī
ye haath hāthoñ meñ jānte ho kahāñ talak hai
hisāb-e-sūd-o-ziyāñ talak hai
haiñ muntazir ab ki kab koī aisā moḌ aa.e
ki bār-e-ilzām-e-bevafā.ī koī uThā.e
jo muskurāhaT hamāre chehre ko dekh kar un laboñ pe aatī
jabīñ kī shiknoñ meñ Dhal chukī hai
vo hoñT jin pe hamāre bosoñ se surḳhiyāñ thiiñ
vo hoñT shikvoñ se aT chuke haiñ
ham ek donoñ meñ baT chuke haiñ
to tai huā ki bichhaḌ chuke haiñ
so tai hua ki bichhaD chuke hain
faqat dikhawa hain sard aahen
jo aag donon taraf barabar lagi hui thi
wo bujh chuki hai
ukhaD chuka hai wo sans jis se
hayat the rabte hamare
juda hain ab raste hamare
masafaten KHatm ho chuki hain
barae-duniya hai rah-gardi
murawwatan hain murawwaten bhi
ye hath hathon mein jaante ho kahan talak hai
hisab-e-sud-o-ziyan talak hai
hain muntazir ab ki kab koi aisa moD aae
ki bar-e-ilzam-e-bewafai koi uThae
jo muskurahaT hamare chehre ko dekh kar un labon pe aati
jabin ki shiknon mein Dhal chuki hai
wo honT jin pe hamare boson se surKHiyan thin
wo honT shikwon se aT chuke hain
hum ek donon mein baT chuke hain
to tai hua ki bichhaD chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.