bichhDa lamha
khujūroñ ke peḌoñ se thoḌā sā uupar
javāñ musta.id chāñd
tanhā khaḌā
mire ghar mire shahr kī pahra-dārī meñ masrūf thā
chāñd kī narm doshīza kirneñ
mire vāste niiñd kā jaal sā bun rahī thiiñ
achānak fazāoñ meñ anqarīb chīḳhe
zamīñ kī taraf bhūkī chīloñ kī mānind jhapTe
jhapaTte rahe
zamān-o-makāñ ek lamhe pe aa kar Thahar se ga.e
usī ek lamhe ne saarī fazā par
kisī būḌhī beva kī chādar uḌā dī
ki jis meñ faqat maut kī hasrateñ thiiñ
aur agle hī lamhe ne baḌh kar sadā dī
ye lamha jo ham se bichhaḌ kar girā hai
hamārā nahīñ thā
khujuron ke peDon se thoDa sa upar
jawan mustaid chand
tanha khaDa
mere ghar mere shahr ki pahra-dari mein masruf tha
chand ki narm doshiza kirnen
mere waste nind ka jal sa bun rahi thin
achanak fazaon mein anqarib chiKHe
zamin ki taraf bhuki chilon ki manind jhapTe
jhapaTte rahe
zaman-o-makan ek lamhe pe aa kar Thahar se gae
usi ek lamhe ne sari faza par
kisi buDhi bewa ki chadar uDa di
ki jis mein faqat maut ki hasraten thin
aur agle hi lamhe ne baDh kar sada di
ye lamha jo hum se bichhaD kar gira hai
hamara nahin tha
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-275 p-263)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.