aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bimari ki KHabar

Syed Ehtisham Husain

bimari ki KHabar

Syed Ehtisham Husain

MORE BYSyed Ehtisham Husain

    Interesting Fact

    The famous critic Muhammad Hasan Askari once asked the accomplished poets of his time to name one of their choice poems, then different poets mentioned the names of their representative poems. Hasan Askari compiled all these poems in book form which was published by Kitabistan Allahabad in 1932.

    jab ḳhat meñ tum likh detī ho kuchh haal apnī bīmārī

    maiñ baiTh ke tanhā.ī meñ jaane kyā kyā sochā kartā huuñ

    kuchh andhe koḌhī dīvāne āñkhoñ meñ samāne lagte haiñ

    kuchh qaht-zada bhūke pyāse jaañ ḳhāmoshī se de de kar

    duniyā meñ muflis rahne tāzīreñ paane lagte haiñ

    kaTte haiñ jin ke shām-o-sahar ik qābil-e-nafrat ḳhvārī se

    jo marte haiñ āsānī se aur jiite haiñ dushvārī se

    ḳhuuñ chuus liyā hai ġhairoñ ne bīmār bhī haiñ nādān bhī haiñ

    jiine tamannā dil meñ hai aur jiine se bezār bhī haiñ

    is dard maarī duniyā meñ aise insāñ kyuuñ baste haiñ

    jo saarī umar zarūrat chīzoñ ke liye bhī taraste haiñ

    go aise log bhī haiñ jin ko āsā.ish āsā.ish hai

    vo sab hai muhayyā un ke liye jis chiiz un ko ḳhvāhish hai

    jin ke liye sonā miTTī hai jin ke liye motī saste haiñ

    lekin majbūr insānoñ ko kyuuñ haq nahīñ hāsil jiine

    tūfān ke qabze meñ kyuuñ patvār hai un ke safīne

    kab tak be-bas insāñ yūñhī taqdīr ronā ro.egā

    kab tak be kuchh paa.e hue apnā sab kuchh kho.egā

    kab tak andhī bheḌoñ tarah ye apnī raah na pā.egā

    kab tak maut ke aage se pīchhe haTtā jā.egā

    phir ḳhud dil bol uThtā hai ab vaqt badalne vaalā hai

    zarre sūraj ban jā.eñge vo daur bhī aane vaalā hai

    ummīd ik nannhī kiran māyūsī par chhā jaatī hai

    aur us zau meñ ek na.ī duniyā baazū phailātī hai

    suuī ragoñ meñ chubhtī hai āñkhoñ meñ aañsū aate haiñ

    dil be-qābū ho jaatā hai jiine havas baḌh jaatī hai

    jaañ vaqf-e-tapish ho jaatī hai aur azm-e-baġhāvat kartī hai

    us vaqt ik sail irādoñ sīnoñ se ho ke guzartī hai

    duniyā ko ḳhuld banāne jo dhyān dil meñ aatā hai

    aisī ḳhabroñ ke sunñe se vo aur qavī ho jaatā hai

    jab ḳhat meñ tum likh detī ho kuchh haal apnī bīmārī

    maiñ baiTh ke tanhā.ī meñ jaane kyā kyā sochā kartā huuñ

    ham jañg kareñge fitrat se fitrat par qaabū pā.eñge

    aur fitrat par qaabū kar ik roz amar ban jā.eñge

    jab KHat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka

    main baiTh ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun

    kuchh andhe koDhi diwane aankhon mein samane lagte hain

    kuchh qaht-zada bhuke pyase jaan KHamoshi se de de kar

    duniya mein muflis rahne ki taziren pane lagte hain

    kaTte hain jin ke sham-o-sahar ek qabil-e-nafrat KHwari se

    jo marte hain aasani se aur jite hain dushwari se

    KHun chus liya hai ghairon ne bimar bhi hain nadan bhi hain

    jine ki tamanna dil mein hai aur jine se bezar bhi hain

    is dard ki mari duniya mein aise insan kyun baste hain

    jo sari umar zarurat ki chizon ke liye bhi taraste hain

    go aise log bhi hain jin ko aasaish hi aasaish hai

    wo sab hai muhayya un ke liye jis chiz ki un ko KHwahish hai

    jin ke liye sona miTTi hai jin ke liye moti saste hain

    lekin majbur insanon ko kyun haq nahin hasil jine ka

    tufan hi ke qabze mein kyun patwar hai un ke safine ka

    kab tak be-bas insan yunhi taqdir ka rona roega

    kab tak be kuchh pae hue apna hi sab kuchh khoega

    kab tak andhi bheDon ki tarah ye apni rah na paega

    kab tak maut ke aage se pichhe hi haTta jaega

    phir KHud hi dil bol uThta hai ab waqt badalne wala hai

    zarre suraj ban jaenge wo daur bhi aane wala hai

    ummid ki ek nannhi si kiran mayusi par chha jati hai

    aur us ki zau mein ek nai duniya bazu phailati hai

    sui si ragon mein chubhti hai aankhon mein aansu aate hain

    dil be-qabu ho jata hai jine ki hawas baDh jati hai

    jaan waqf-e-tapish ho jati hai aur azm-e-baghawat karti hai

    us waqt ek sail iradon ki sinon se ho ke guzarti hai

    duniya ko KHuld banane ka jo dhyan sa dil mein aata hai

    aisi KHabron ke sunne se wo aur qawi ho jata hai

    jab KHat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka

    main baiTh ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun

    hum jang karenge fitrat se fitrat par qabu paenge

    aur fitrat par qabu pa kar ek roz amar ban jaenge

    Source:

    meri behtareen nazam (Pg. 13)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now