Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bil-jabr

Tabish Kamal

bil-jabr

Tabish Kamal

MORE BYTabish Kamal

    har taraf katraneñ haiñ

    vo guḌiyā yahīñ thī magar ab dikhā.ī nahīñ de rahī

    aur ye dhāge, yaqīnan vo gesū haiñ jin ke liye merī rāteñ kaTīñ

    ruuī dhunkī huī hai

    kahīñ ḳhuun koī dhabba nahīñ

    ik taraf us poshāk udhḌī paḌī hai

    udhar us āñkheñ, kaTe abrūoñ se alag,

    ḳhauf-o-dahshat meñ luthḌī huī

    har taraf katraneñ haiñ

    badan resha resha hai

    nīche dhaḌ chiil kavve uThā le ga.e

    laboñ lahū jam gayā hai

    (lahū jo yaqīnan kisī aur hai)

    gale par kisī gurg ke daañt khīñche hue haiñ

    vo guḌiyā nahīñ hai magar har taraf katraneñ haiñ

    maiñ ā.inda guḌiyā ḳhātir kapās aur dhāge nahīñ lā.ūñgā

    katraneñ le ke apnī kisī aur jānib nikal jā.ūñgā

    har taraf katranen hain

    wo guDiya yahin thi magar ab dikhai nahin de rahi

    aur ye dhage, yaqinan wo gesu hain jin ke liye meri raaten kaTin

    rui dhunki hui hai

    kahin KHun ka koi dhabba nahin

    ek taraf us ki poshak udhDi paDi hai

    udhar us ki aankhen, kaTe abruon se alag,

    KHauf-o-dahshat mein luthDi hui

    har taraf katranen hain

    badan resha resha hai

    niche ka dhaD chil kawwe uTha le gae

    labon ka lahu jam gaya hai

    (lahu jo yaqinan kisi aur ka hai)

    gale par kisi gurg ke dant khinche hue hain

    wo guDiya nahin hai magar har taraf katranen hain

    main aainda guDiya ki KHatir kapas aur dhage nahin launga

    katranen le ke apni kisi aur jaanib nikal jaunga

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bil-jabr Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now