Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bipolar

Vikram

bipolar

Vikram

MORE BYVikram

    tumhārī maut

    tumhārī maañ kokh se

    tumhāre saath paidā huī thī

    lekin tum ne haath thāmā zindagī

    maut ko band kiyā kisī kāl-koTharī meñ

    aur bhuul ga.e

    itihās murda kitāboñ aur ḳhuun se sane lijlije aḳhbāroñ ko paḌhte vaqt

    tum ne maut ko yaad kiyā

    chaar aañsū bahā.e

    magar tum Darpok the

    tum maut ko gale na lagā sake

    mere ḳhayāl se to tumheñ

    ġhermany filistīn kashmīr hiroshima godhra aur syria meñ ek ek baar mar jaanā chāhiye thā

    magar tum Darpok the

    aur tum ab bhī Darpok tarah

    chhat se kuud kar ek jhaTke meñ marnā chāhte ho

    tum meñ nahīñ himmat

    paTrī par leT kar train ke intizār

    tum Darpok aur vāhiyāt ho

    ki tum ne marne ke liye ishq jaisī be-hūda chiiz ko chunā

    tumhaari maut

    tumhaari man ki kokh se

    tumhaare sath hi paida hui thi

    lekin tum ne hath thama zindagi ka

    maut ko band kiya kisi kal-koThari mein

    aur bhul gae

    itihas ki murda kitabon aur KHun se sane lijlije aKHbaron ko paDhte waqt

    tum ne maut ko yaad kiya

    chaar aansu bahae

    magar tum Darpok the

    tum maut ko gale na laga sake

    mere KHayal se to tumhein

    ghermany filistin kashmir hiroshima godhra aur syria mein ek ek bar mar jaana chahiye tha

    magar tum Darpok the

    aur tum ab bhi Darpok ki tarah

    chhat se kud kar ek jhaTke mein marna chahte ho

    tum mein nahin himmat

    paTri par leT kar train ke intizar ki

    tum Darpok aur wahiyat ho

    ki tum ne marne ke liye ishq jaisi be-huda chiz ko chuna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now