black-out
Interesting Fact
Faiz wrote this on "Indo-Pak" war.
jab se be-nūr huī haiñ sham.eñ
ḳhaak meñ DhūñDhtā phirtā huuñ na jaane kis jā
kho ga.ī haiñ mirī donoñ āñkheñ
tum jo vāqif ho batāo koī pahchān mirī
is tarah hai ki har ik rag meñ utar aayā hai
mauj-dar-mauj kisī zahr kā qātil dariyā
terā armān, tirī yaad liye jaan mirī
jaane kis mauj meñ ġhaltāñ hai kahāñ dil merā
ek pal Thahro ki us paar kisī duniyā se
barq aa.e mirī jānib yad-e-baizā le kar
aur mirī āñkhoñ ke gum-gashta guhar
jām-e-zulmat se siyah-mast
na.ī āñkhoñ ke shab-tāb guhar
lauTā de
ek pal Thahro ki dariyā kā kahīñ paaT lage
aur nayā dil merā
zahr meñ dhul ke, fanā ho ke
kisī ghaaT lage
phir pa.e-nazr na.e diida o dil le ke chalūñ
husn kī mad.h karūñ shauq kā mazmūn likkhūñ
Blackout
jab se be-nur hui hain shamen
KHak mein DhunDhta phirta hun na jaane kis ja
kho gai hain meri donon aankhen
tum jo waqif ho batao koi pahchan meri
is tarah hai ki har ek rag mein utar aaya hai
mauj-dar-mauj kisi zahr ka qatil dariya
tera arman, teri yaad liye jaan meri
jaane kis mauj mein ghaltan hai kahan dil mera
ek pal Thahro ki us par kisi duniya se
barq aae meri jaanib yad-e-baiza le kar
aur meri aankhon ke gum-gashta guhar
jam-e-zulmat se siyah-mast
nai aankhon ke shab-tab guhar
lauTa de
ek pal Thahro ki dariya ka kahin paT lage
aur naya dil mera
zahr mein dhul ke, fana ho ke
kisi ghaT lage
phir pae-nazr nae dida o dil le ke chalun
husn ki madh karun shauq ka mazmun likkhun
Blackout
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 409)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.