bohran
ḳhudāyā
sabr kī taufīq de
mujh ko
mire dil ko
dayār-e-'āfiyat
pātāl ke andhe shikam meñ gum
vabāl-e-dosh hai sar
aur jhulastī chilchilātī dhuup ke narġhe meñ
mere saare naḳhlistāñ
ye kaisā laqq-o-daq sahrā-e-vahshat hai
hue jaate haiñ ab mā'dūm
phūloñ ke havāle
merī nīñdoñ se
KHudaya
sabr ki taufiq de
mujh ko
mere dil ko
dayar-e-'afiyat
patal ke andhe shikam mein gum
wabaal-e-dosh hai sar
aur jhulasti chilchilati dhup ke narghe mein
mere sare naKHlistan
ye kaisa laqq-o-daq sahra-e-wahshat hai
hue jate hain ab ma'dum
phulon ke hawale
meri nindon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.