Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zabanon ka bosa

Fahmida Riaz

zabanon ka bosa

Fahmida Riaz

MORE BYFahmida Riaz

    zabānoñ ke ras meñ ye kaisī mahak hai

    ye bosa ki jis se mohabbat sahbā uḌtī hai ḳhushbū

    ye bad-mast ḳhushbū jo gahrā ġhunūda nasha rahī hai

    ye kaisā nasha hai

    mere zehn ke reze reze meñ ek aañkh khul ga.ī hai

    tum apnī zabāñ mere muñh meñ rakhe jaise pātāl se merī jaañ khīñchte ho

    ye bhīgā huā garm o tārīk bosa

    amāvas kaalī barastī huī raat jaise umaDtī chalī aa rahī hai

    kahīñ koī saa.at azal se ramīda

    mirī ruuh ke dasht meñ uḌ rahī thī

    vo saa.at qarīñ-tar chalī aa rahī hai

    mujhe aisā lagtā hai

    tārīkiyoñ ke

    larazte hue pul ko

    maiñ paar kartī chalī rahī huuñ

    ye pul ḳhatm hone ko hai

    aur ab

    us ke aage

    kahīñ raushnī hai

    Deep kiss

    zabanon ke ras mein ye kaisi mahak hai

    ye bosa ki jis se mohabbat ki sahba ki uDti hai KHushbu

    ye bad-mast KHushbu jo gahra ghunuda nasha la rahi hai

    ye kaisa nasha hai

    mere zehn ke reze reze mein ek aankh si khul gai hai

    tum apni zaban mere munh mein rakhe jaise patal se meri jaan khinchte ho

    ye bhiga hua garm o tarik bosa

    amawas ki kali barasti hui raat jaise umaDti chali aa rahi hai

    kahin koi saat azal se ramida

    meri ruh ke dasht mein uD rahi thi

    wo saat qarin-tar chali aa rahi hai

    mujhe aisa lagta hai

    tarikiyon ke

    larazte hue pul ko

    main par karti chali ja rahi hun

    ye pul KHatm hone ko hai

    aur ab

    us ke aage

    kahin raushni hai

    Deep kiss

    RECITATIONS

    Fahmida Riaz

    Fahmida Riaz,

    Fahmida Riaz

    zabanon ka bosa Fahmida Riaz

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now