Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bolta kyun nahin

Javaid Anwar

bolta kyun nahin

Javaid Anwar

MORE BYJavaid Anwar

    ne kyuuñ apne gāloñ pe sarsoñ malī

    ne kyuuñ apnī āñkhoñ meñ chūnā bharā

    terī goyā.ī kis dasht ke bheḌiye le ga.e

    boltā kyuuñ nahīñ

    boltā kyuuñ nahīñ tifl-e-māsūm to kab se bīmār hai

    kaisā āzār hai jis ne terī shaboñ se tirī niiñd tere dinoñ se

    khilaune churā.e

    soyā nahīñ hai magar jāgtā kyuuñ nahīñ

    dekhtā kyuuñ nahīñ tere baabā ke bāloñ meñ khujlī hai aur uñgliyāñ jhaḌ chukī haiñ

    hisāb-e-shab-o-roz karte hue

    terī ammāñ ke ra.asha-zada haath ḳhush-hāliyāñ DhūñDte DhūñDte

    in dhule bartanoñ meñ paḌe rah ga.e

    sub.h-e-tābīr ne shāḳh par sabz hone hasrat likhī

    aañkh ko motiyā de diyā

    dekhtā kyuuñ nahīñ aaj bāzār meñ jashn-e-iflās hai

    shahr bhuuk chorī huī

    aur ḳhabroñ ne aḳhbār gum kar diyā

    log rote rahe

    log hañste rahe

    tere bistar pe ashkoñ champā khilī

    aur chup rahā

    tere māthe pe muskān itr chhiḌkā gayā

    aur chup rahā

    merī hañDiyā jalī

    merā chūlhā bujhā

    merī jholī se harf-e-duā gir gayā

    mere bachche lab kholtā kyuuñ nahīñ

    boltā kyuuñ nahīñ

    tu ne kyun apne galon pe sarson mali

    tu ne kyun apni aankhon mein chuna bhara

    teri goyai kis dasht ke bheDiye le gae

    bolta kyun nahin

    bolta kyun nahin tifl-e-masum to kab se bimar hai

    kaisa aazar hai jis ne teri shabon se teri nind tere dinon se

    khilaune churae

    tu soya nahin hai magar jagta kyun nahin

    dekhta kyun nahin tere baba ke baalon mein khujli hai aur ungliyan jhaD chuki hain

    hisab-e-shab-o-roz karte hue

    teri amman ke rasha-zada hath KHush-haaliyan DhunDte DhunDte

    in dhule bartanon mein paDe rah gae

    subh-e-tabir ne shaKH par sabz hone ki hasrat likhi

    aankh ko motiya de diya

    dekhta kyun nahin aaj bazar mein jashn-e-iflas hai

    shahr ki bhuk chori hui

    aur KHabron ne aKHbar gum kar diya

    log rote rahe

    log hanste rahe

    tere bistar pe ashkon ki champa khili

    aur tu chup raha

    tere mathe pe muskan ka itr chhiDka gaya

    aur tu chup raha

    meri hanDiya jali

    mera chulha bujha

    meri jholi se harf-e-dua gir gaya

    mere bachche tu lab kholta kyun nahin

    bolta kyun nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now