bunai
maiñ ne apnā zehn udheḌā
ek ḳhayāl kā lambā suutr sīdhā kar ke
qaus-e-quzah ke rang lagā.e
aur lapeTā
us ke jism kā naap liyā
ummīdoñ kī 'ainak pahnī
ek sunahrī jazbe kī bārīk salā.iyāñ pakḌīñ
nazm bunī
phir us nazm ke hisse joḌe
gāñThoñ se nikle māyūsī ke dhāgoñ ko kaaTā
mīThe ehsāsāt ke paanī se dhoyā
she'roñ ke bāġhīche ghuum ke taaza lafz chune
saat suroñ kī chāñdī ke aurāq liye
aur zamistāñ meñ ik sundar laḌkī ko
narm mulā.im nazm kā tohfa pesh kiyā
us ne tohfa kholā
maiñ ne pahnāyā
pahnāne ke baa'd mujhe mahsūs huā
is sayyāre par vo vāhid laḌkī hai
jis pe nazm bahut jachtī hai
main ne apna zehn udheDa
ek KHayal ka lamba sutr sidha kar ke
qaus-e-quzah ke rang lagae
aur lapeTa
us ke jism ka nap liya
ummidon ki 'ainak pahni
ek sunahri jazbe ki barik salaiyan pakDin
nazm buni
phir us nazm ke hisse joDe
ganThon se nikle mayusi ke dhagon ko kaTa
miThe ehsasat ke pani se dhoya
she'ron ke baghiche ghum ke taza lafz chune
sat suron ki chandi ke auraq liye
aur zamistan mein ek sundar laDki ko
narm mulaim nazm ka tohfa pesh kiya
us ne tohfa khola
main ne pahnaya
pahnane ke ba'd mujhe mahsus hua
is sayyare par wo wahid laDki hai
jis pe nazm bahut jachti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.