Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buniyaad kuchh to ho

Faiz Ahmad Faiz

buniyaad kuchh to ho

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    kū-e-sitam ḳhāmushī ābād kuchh to ho

    kuchh to kaho sitam-kasho, fariyād kuchh to ho

    bedād-gar se shikva-e-bedād kuchh to ho

    bolo ki shor-e-hashr ījād kuchh to ho

    marne chale to satvat-e-qātil ḳhauf kyā

    itnā to ho ki bāñdhne paa.e na dast o

    maqtal meñ kuchh to rañg jame jashn-e-raqs

    rañgīñ lahū se panja-e-sayyād kuchh to ho

    ḳhuuñ par gavāh dāman-e-jallād kuchh to ho

    jab ḳhūñ-bahā talab kareñ buniyād kuchh to ho

    gar tan nahīñ zabāñ sahī āzād kuchh to ho

    dushnām naala hāo-hū fariyād kuchh to ho

    chīḳhe hai dard ai dil-e-barbād kuchh to ho

    bolo ki shor-e-hashr ījād kuchh to ho

    bolo ki roz-e-adl buniyād kuchh to ho

    ku-e-sitam ki KHamushi aabaad kuchh to ho

    kuchh to kaho sitam-kasho, fariyaad kuchh to ho

    bedad-gar se shikwa-e-bedad kuchh to ho

    bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho

    marne chale to satwat-e-qatil ka KHauf kya

    itna to ho ki bandhne pae na dast o pa

    maqtal mein kuchh to rang jame jashn-e-raqs ka

    rangin lahu se panja-e-sayyaad kuchh to ho

    KHun par gawah daman-e-jallad kuchh to ho

    jab KHun-baha talab karen buniyaad kuchh to ho

    gar tan nahin zaban sahi aazad kuchh to ho

    dushnam nala hao-hu fariyaad kuchh to ho

    chiKHe hai dard ai dil-e-barbaad kuchh to ho

    bolo ki shor-e-hashr ki ijad kuchh to ho

    bolo ki roz-e-adl ki buniyaad kuchh to ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    RECITATIONS

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz,

    Faiz Ahmad Faiz

    buniyaad kuchh to ho Faiz Ahmad Faiz

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 284)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now