buDhi tawaif
zard chehre pe thiiñ
sharminda gulābī lahreñ
aañkh māyūs thī
barsoñ se nahīñ soī thī
koī aatā thā
koī aa ke chalā jaatā thā
koī ādāb
naman kar jaatā thā
pheñktā phuul thā
patthar koī
kankar koī
sīTiyāñ koī bajātā thā
guzar jaatā thā
gungunātā koī
rāhoñ meñ Thahar jaatā thā
sub.h ho jaatī thī āñkheñ yuuñ jhapakte us kī
guzrī rātoñ ke ta'āqub meñ lapakte us kī
kapkapāte hue hāthoñ se
ishāra kartī
rāhgīroñ ko kabhī
aañkh bhī maarā kartī
kāTtī lab vo kabhī
zulf sañvārā kartī
letī añgḌā.iyāñ
vo jism ubhārā kartī
ek hī kaam
musalsal vo
dubāra kartī
'umr is tarh se apnī vo
guzārā kartī
ḳhud ko ā.īne meñ har sub.h
utārā kartī
Dar ke tanhā.ī se har ik ko
pukārā kartī
sar kabhī dar
kabhī dīvār pe maarā kartī
muskurātī jo kabhī
hoñT sikuḌ jaate the
zard ruḳhsār pe
gaDDhe ka.ī paḌ jaate the
zard chehre pe thin
sharminda gulabi lahren
aankh mayus thi
barson se nahin soi thi
koi aata tha
koi aa ke chala jata tha
koi aadab
naman kar jata tha
phenkta phul tha
patthar koi
kankar koi
siTiyan koi bajata tha
guzar jata tha
gungunata koi
rahon mein Thahar jata tha
subh ho jati thi aankhen yun jhapakte us ki
guzri raaton ke ta'aqub mein lapakte us ki
kapkapate hue hathon se
ishaara karti
rahgiron ko kabhi
aankh bhi mara karti
kaTti lab wo kabhi
zulf sanwara karti
leti angDaiyan
wo jism ubhaara karti
ek hi kaam
musalsal wo
dubara karti
'umr is tarh se apni wo
guzara karti
KHud ko aaine mein har subh
utara karti
Dar ke tanhai se har ek ko
pukara karti
sar kabhi dar
kabhi diwar pe mara karti
muskuraati jo kabhi
honT sikuD jate the
zard ruKHsar pe
gaDDhe kai paD jate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.