buzdil
kahā kaun buzdil hai
āvāz aa.ī vahī jo
shikasta sadāoñ ke ban meñ khaḌā hai
javāñ-sāl gītoñ kī mayyat uThā.e
vahī jo udāsī kī jaltī do-pahrī meñ
rāhat kā armāñ liye DhūñDhtā hai
bulandī pe parvāz karte hue
kuchh parindoñ ke saa.e
vo buzdil hai
āvāz aa.ī vo buzdil hai jo
is yaqīñ par palā hai
ki ajdād ke faisloñ kī amānat ko
ik hāmila kī tarah vo uThā.e hue hai
añdhere ujāle jo is vāhime se juḌā hai
ki maazī kī satvat ko
māthe pe apne sajā.e hue hai
vo buzdil hai
āvāz aa.ī vo buzdil hai jo
'usrat-e-'ilm-o-hikmat ke pātāl meñ
baiTh kar sochtā hai
ki hāthoñ meñ tahzīb 'irfān aur āgahī kā
pharerā uThā.e hue hai
ki bīmār siine pe harf-e-sadāqat kā
zarkār tamġha lagā.e hue hai
vo buzdil hai
āvāz aa.ī vo buzdil hai jis kī
‘azīmat ke āsār-o-aqdār par
qahr TūTeñ agar
maut aur zindagī donoñ jis ke liye
tauq-e-lā'nat baneñ
aur vo taaza zaḳhmoñ se bahte hue ḳhuun ko
chashm-e-nam ke piyāloñ se dhotā rahe
vo buzdil hai
āvāz aa.ī vo buzdil hai jo
ḳhauf ke sā.ebāñ meñ khaḌā
'azm-e-jāñbāz kī rif'ateñ DhūñDhtā hai
mohabbat kī shādāb vaadī meñ jo
gukhruoñ se bharī nafrateñ DhūñDhtā hai
vo buzdil hai
āvāz aa.ī vo buzdil hai jo
nasl tahzīb aur ḳhuun ke zamzamoñ ko
'aqīdoñ kī talvār se kāTtā hai
rifāqat ke jazboñ ne sadiyoñ ke saa.e meñ
sīñchā hai jis peḌ kī Tahniyoñ ko
use kund hathiyār kī dhaar se kāTtā hai
vo buzdil hai
āvāz aa.ī vo buzdil hai
kaha kaun buzdil hai
aawaz aai wahi jo
shikasta sadaon ke ban mein khaDa hai
jawan-sal giton ki mayyat uThae
wahi jo udasi ki jalti do-pahri mein
rahat ka arman liye DhunDhta hai
bulandi pe parwaz karte hue
kuchh parindon ke sae
wo buzdil hai
aawaz aai wo buzdil hai jo
is yaqin par pala hai
ki ajdad ke faislon ki amanat ko
ek hamila ki tarah wo uThae hue hai
andhere ujale jo is wahime se juDa hai
ki mazi ki satwat ko
mathe pe apne sajae hue hai
wo buzdil hai
aawaz aai wo buzdil hai jo
'usrat-e-'ilm-o-hikmat ke patal mein
baiTh kar sochta hai
ki hathon mein tahzib 'irfan aur aagahi ka
pharera uThae hue hai
ki bimar sine pe harf-e-sadaqat ka
zarkar tamgha lagae hue hai
wo buzdil hai
aawaz aai wo buzdil hai jis ki
‘azimat ke aasar-o-aqdar par
qahr TuTen agar
maut aur zindagi donon jis ke liye
tauq-e-la'nat banen
aur wo taza zaKHmon se bahte hue KHun ko
chashm-e-nam ke piyalon se dhota rahe
wo buzdil hai
aawaz aai wo buzdil hai jo
KHauf ke saeban mein khaDa
'azm-e-jaanbaz ki rif'aten DhunDhta hai
mohabbat ki shadab wadi mein jo
gukhruon se bhari nafraten DhunDhta hai
wo buzdil hai
aawaz aai wo buzdil hai jo
nasl tahzib aur KHun ke zamzamon ko
'aqidon ki talwar se kaTta hai
rifaqat ke jazbon ne sadiyon ke sae mein
sincha hai jis peD ki Tahniyon ko
use kund hathiyar ki dhaar se kaTta hai
wo buzdil hai
aawaz aai wo buzdil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.