Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mashwara

Daud Ghazi

mashwara

Daud Ghazi

MORE BYDaud Ghazi

    merī mahbūb ye aañsū haiñ ki motī ruḳh par

    un ko is tarah na bekār gañvā maan bhī

    abhī jalne de ye siina abhī phaTne de dimāġh

    ātish-e-ġham ko na ashkoñ se bujhā maan bhī

    ye nahīñ hai ki maiñ is dard se āgāh nahīñ

    ġham-e-dahr pe rotī hai patā hai mujh ko

    jāntā huuñ maiñ ki is ġham haqīqat kyā hai

    yahī ġham aur isī shiddat se huā hai mujh ko

    haañ magar ham nahīñ is ke shikanje ke shikār

    apnī tarah zamāne meñ hazīñ aur bhī haiñ

    apne siine nahīñ rañj-o-alam ke madfan

    dard ke raaz to poshīda kahīñ aur bhī haiñ

    haath par haath dhare sab hoñ agar girya-kunāñ

    phir un ashkoñ kare kaun mudāvā āḳhir

    kis tarah dukh ye Taleñ zaḳhm bhareñ daaġh miTeñ

    in tamannāoñ ko de kaun sahārā āḳhir

    aaj bebas haiñ to kyā aaj haiñ majbūr to kyā

    bebasī pe nahīñ ḳhatm kahānī apnī

    ġham ke sho.aloñ ko havā de ke agar tez kareñ

    rañg lā.egī yahī sho.ala-fishānī apnī

    ḳhud-kushī qabr maiñ bhejegī hameñ ġham ko nahīñ

    marg-e-hastī meñ kahāñ hai ġham-e-hastī ilaaj

    qabr meñ lāsheñ lāsheñ haiñ tamannāoñ

    maut ke paas kahāñ apnī ġharībī ilaaj

    ġham ke zarroñ ko sameTūñ ki baḌe kaam ke haiñ

    ye simaT jaa.eñ to ho jaa.e himāla paidā

    dard aag ko siine meñ vabā rahne do

    jab ye bhaḌkegī to kar degī ujālā paidā

    meri mahbub ye aansu hain ki moti ruKH par

    un ko is tarah na bekar ganwa man bhi ja

    abhi jalne de ye sina abhi phaTne de dimagh

    aatish-e-gham ko na ashkon se bujha man bhi ja

    ye nahin hai ki main is dard se aagah nahin

    tu gham-e-dahr pe roti hai pata hai mujh ko

    jaanta hun main ki is gham ki haqiqat kya hai

    yahi gham aur isi shiddat se hua hai mujh ko

    han magar hum hi nahin is ke shikanje ke shikar

    apni hi tarah zamane mein hazin aur bhi hain

    apne sine hi nahin ranj-o-alam ke madfan

    dard ke raaz to poshida kahin aur bhi hain

    hath par hath dhare sab hon agar girya-kunan

    phir un ashkon ka kare kaun mudawa aaKHir

    kis tarah dukh ye Talen zaKHm bharen dagh miTen

    in tamannaon ko de kaun sahaara aaKHir

    aaj bebas hain to kya aaj hain majbur to kya

    bebasi hi pe nahin KHatm kahani apni

    gham ke shoalon ko hawa de ke agar tez karen

    rang laegi yahi shoala-fishani apni

    KHud-kushi qabr main bhejegi hamein gham ko nahin

    marg-e-hasti mein kahan hai gham-e-hasti ka ilaj

    qabr mein lashen hi lashen hain tamannaon ki

    maut ke pas kahan apni gharibi ka ilaj

    gham ke zarron ko sameTun ki baDe kaam ke hain

    ye simaT jaen to ho jae himala paida

    dard ki aag ko sine mein waba rahne do

    jab ye bhaDkegi to kar degi ujala paida

    Source:

    Waqt Ki Sadiyan (Pg. 91)

    • Author: Daud Ghazi
      • Edition: 1970
      • Publisher: Kokan Urdu Writers Guild, Kenya
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now