Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaak

MORE BYZia Jalandhari

    1

    vo azal se apne aziim chaak pe

    mumkināt ke inkishāf meñ mahv hai

    falak-o-zamīñ mah-o-āftāb-o-nujūm kohna karishme us ke kamāl ke

    abhī is jiddat-e-be-panāh ko tarah-e-nau talāsh hai

    abhī arsh-o-farsh ke nā-shunīda shamā.il us nazar meñ haiñ

    abhī māvara-e-ḳhayāl-o-fikr-e-masā.il us nazar meñ haiñ

    kurra-e-zamīñ ko ye faḳhr hai

    ki ye ḳhaak ḳhāliq-e-ḳhāliqāñ ko aziiz hai

    yahīñ saañs letī hayāt jalva-numā huī

    isī arz-e-ḳhāk ko armuġhān-e-numū milā

    yahāñ zindagī ke vo rañg haiñ vo tarīq haiñ

    ki na un koī shumār hai na hisāb hai

    inhī paikaroñ meñ hai jā-ba-jā vo tilism-e-aks-e-jamāl bhī

    jise dekh lene se chashm-o-dil hama-hairat-o-hama-be-ḳhudī

    kahīñ koñpaloñ ko nikhārtā hai vo lazzat-e-nam-e-shāḳh se

    kahīñ mū-qalam se sañvārtā hai guloñ meñ rañg na.e na.e

    kabhī baḳhshā hai diloñ ko dard jāñ-gudāz latāfateñ

    koī rañg ho koī ruup ho

    koī shakl koī mizāj ho

    sabhī us ke chaak se aa.e haiñ

    2

    ye saarī bāteñ sach sahī

    ye saare gumān durust sahī

    par ye to kaho

    qadmoñ tale rauñde pattoñ āvāz sunī hai tum ne kabhī

    murjhā.e hue phūloñ se kabhī biitī huī rut baat huī

    kabhī ḳhauf-zada naḳhchīroñ āñkhoñ meñ jhāñk ke dekhā hai

    kabhī dukhte diloñ us dhaḌkan us dahshat meñ bhī sharīk hue

    jo hote hue bhī na hone ke ehsās se paidā hotī hai

    phaTī purānī shakloñ vaale

    ye apāhij ye ma.azūr za.iif

    ye TuuTe phūTe khilaune bhī

    usī chaak se aa.e haiñ ki nahīñ

    kal jin hayāt thī barq-āsā

    paivand-e-ḳhas-o-ḳhāshāk hue

    jinheñ dekh ke āñkheñ raushan thiiñ

    pinhāñ pas-e-parda-e-ḳhāk hue

    vo naqsh-gar-e-kāmil hai to phir

    jo naqsh-e-jamīl banātā hai

    jo dard diloñ meñ jagātā hai

    use ġhārat kyuuñ kar detā hai

    fankār-e-azal ko kyā apne kisī naqsh pe itminān nahīñ

    3

    ādmī-zāde kisī rañg kisī naqsh pāband na ho

    ziist Thahrā huā jouhaḌ nahīñ mavvāj-o-ravāñ dariyā hai

    hai ik Thahre hue pal meñ talabgār-e-davām

    ye davām asl meñ hai be-hisi-e-marg naam

    ādmī-zāde tire rishte haiñ bādal tarah

    ghir ke aate haiñ baraste haiñ guzar jaate haiñ

    yuuñ bhī hotā hai ki kuchh der Thahar jaate haiñ

    yuuñ bhī hotā hai ki bin barse bikhar jaate haiñ

    kisī rishte kisī abr pāband na ho

    ki hai TuuTe khilaune ke liye girya-kunāñ

    dekh ye ḳhaak ke paikar to faqat shakl badal lete haiñ

    inhī TuuTe hue bekār khilaunoñ ye miTTī phir se

    ziist ke chalte hue chaak ke kaam aatī hai

    phir na.e ruup meñ Dhal jaatī hai

    jaane vāloñ ke liye

    miTte rañgoñ ke liye TuuTe khilaunoñ ke liye

    terā har nauha bajā hai lekin

    aane vāloñ banāv bhī to dekh

    taaza koñpal nazākat meñ tanāv bhī to dekh

    ki vo fankār-e-azal

    aaj bhī apne usī chaak pe hai

    1

    wo azal se apne azim chaak pe

    mumkinat ke inkishaf mein mahw hai

    falak-o-zamin mah-o-aftab-o-nujum kohna karishme us ke kamal ke

    abhi is ki jiddat-e-be-panah ko tarah-e-nau ki talash hai

    abhi arsh-o-farsh ke na-shunida shamail us ki nazar mein hain

    abhi mawara-e-KHayal-o-fikr-e-masail us ki nazar mein hain

    kurra-e-zamin ko ye faKHr hai

    ki ye KHak KHaliq-e-KHaliqan ko aziz hai

    yahin sans leti hayat jalwa-numa hui

    isi arz-e-KHak ko armughan-e-numu mila

    yahan zindagi ke wo rang hain wo tariq hain

    ki na un ka koi shumar hai na hisab hai

    inhi paikaron mein hai ja-ba-ja wo tilism-e-aks-e-jamal bhi

    jise dekh lene se chashm-o-dil hama-hairat-o-hama-be-KHudi

    kahin konpalon ko nikhaarta hai wo lazzat-e-nam-e-shaKH se

    kahin mu-qalam se sanwarta hai gulon mein rang nae nae

    kabhi baKHsha hai dilon ko dard ki jaan-gudaz latafaten

    koi rang ho koi rup ho

    koi shakl koi mizaj ho

    sabhi us ke chaak se aae hain

    2

    ye sari baaten sach hi sahi

    ye sare guman durust sahi

    par ye to kaho

    qadmon tale raunde patton ki aawaz suni hai tum ne kabhi

    murjhae hue phulon se kabhi biti hui rut ki baat hui

    kabhi KHauf-zada naKHchiron ki aankhon mein jhank ke dekha hai

    kabhi dukhte dilon ki us dhaDkan us dahshat mein bhi sharik hue

    jo hote hue bhi na hone ke ehsas se paida hoti hai

    phaTi purani shaklon wale

    ye apahij ye mazur zaif

    ye TuTe phuTe khilaune bhi

    usi chaak se aae hain ki nahin

    kal jin ki hayat thi barq-asa

    paiwand-e-KHas-o-KHashak hue

    jinhen dekh ke aankhen raushan thin

    pinhan pas-e-parda-e-KHak hue

    wo naqsh-gar-e-kaamil hai to phir

    jo naqsh-e-jamil banata hai

    jo dard dilon mein jagata hai

    use ghaarat kyun kar deta hai

    fankar-e-azal ko kya apne kisi naqsh pe itminan nahin

    3

    aadmi-zade kisi rang kisi naqsh ka paband na ho

    zist Thahra hua jouhaD nahin mawwaj-o-rawan dariya hai

    tu hai ek Thahre hue pal mein talabgar-e-dawam

    ye dawam asl mein hai be-hisi-e-marg ka nam

    aadmi-zade tere rishte hain baadal ki tarah

    ghir ke aate hain baraste hain guzar jate hain

    yun bhi hota hai ki kuchh der Thahar jate hain

    yun bhi hota hai ki bin barse bikhar jate hain

    tu kisi rishte kisi abr ka paband na ho

    tu ki hai TuTe khilaune ke liye girya-kunan

    dekh ye KHak ke paikar to faqat shakl badal lete hain

    inhi TuTe hue bekar khilaunon ki ye miTTi phir se

    zist ke chalte hue chaak ke kaam aati hai

    phir nae rup mein Dhal jati hai

    jaane walon ke liye

    miTte rangon ke liye TuTe khilaunon ke liye

    tera har nauha baja hai lekin

    aane walon ka banaw bhi to dekh

    taza konpal ki nazakat mein tanaw bhi to dekh

    ki wo fankar-e-azal

    aaj bhi apne usi chaak pe hai

    Source:

    sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 309)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now