Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand

Fazlurrahman

chand

Fazlurrahman

MORE BYFazlurrahman

    karoḌoñ saal se dekhtā hai duniyā ko

    zamīñ ke bahr-o-bayābāñ ko dasht-o-dariyā ko

    ye daur-e-shām-o-sahar vaqt ye paimāna

    ye inqalāb-e-bahār-o-ḳhizāñ afsāna

    ye sāz-e-dahr tirī anjuman ik naġhma

    navā-e-bazm-e-bashar is chaman ik naġhma

    numūd-e-ma.adan-o-ārā.ish-e-nabāt huī

    tirī āñkhoñ ke aage javāñ hayāt huī

    inhī shuāoñ se chamkā hai sīna-e-ālam

    huā hai matla-e-anvār dīda-e-ādam

    tire huzūr dhaḌaktā hai dil samundar

    damakne lagtā hai chehra fazā-e-bartar

    vo rah-ravān-e-adam qāfile vo hastī ke

    guzarne vaale musāfir zamīñ bastī ke

    samā.e āñkhoñ meñ āñkhoñ se phir nihāñ bhī hue

    vo kārvāñ sifat-e-gard-e-kārvāñ bhī hue

    magar bazm-e-falak meñ yūñhī daraḳhshāñ hai

    ye terī mash.al-e-tābāñ hamesha tābāñ hai

    tirī nigāhoñ meñ rang-e-azal jhalaktā hai

    abad jaam tire haath meñ chhalaktā hai

    kabhī hilāl kabhī sūrat-e-mah-e-kāmil

    hai tere rāste meñ irtiqā har manzil

    mushābah haal se tere hai haal qaumoñ

    uruuj qaumoñ phir zavāl qaumoñ

    ye zindagī bhī hai goyā ki raushnī terī

    nazar se chhuptī hai lekin kabhī nahīñ bujhtī

    agarche partav-e-ḳhurshīd se hai nuur tirā

    hai qarz daam jām-e-mai-e-surūr tirā

    bulandiyoñ meñ bhī terā koī maqām nahīñ

    nujūm-e-charḳh-e-barīñ ham-ḳhirām nahīñ

    zamīñ ke pahlū meñ ne magar jagah paa.ī

    luTā ke daulat-e-husn-o-matā.a-e-ra.anā.ī

    karoDon sal se tu dekhta hai duniya ko

    zamin ke bahr-o-bayaban ko dasht-o-dariya ko

    ye daur-e-sham-o-sahar waqt ka ye paimana

    ye inqalab-e-bahaar-o-KHizan ka afsana

    ye saz-e-dahr teri anjuman ka ek naghma

    nawa-e-bazm-e-bashar is chaman ka ek naghma

    numud-e-madan-o-araish-e-nabaat hui

    teri hi aankhon ke aage jawan hayat hui

    inhi shuaon se chamka hai sina-e-alam

    hua hai matla-e-anwar dida-e-adam

    tere huzur dhaDakta hai dil samundar ka

    damakne lagta hai chehra faza-e-bartar ka

    wo rah-rawan-e-adam qafile wo hasti ke

    guzarne wale musafir zamin ki basti ke

    samae aankhon mein aankhon se phir nihan bhi hue

    wo karwan sifat-e-gard-e-karwan bhi hue

    magar tu bazm-e-falak mein yunhi daraKHshan hai

    ye teri mashal-e-taban hamesha taban hai

    teri nigahon mein rang-e-azal jhalakta hai

    abad ka jam tere hath mein chhalakta hai

    kabhi hilal kabhi surat-e-mah-e-kaamil

    hai tere raste mein irtiqa ki har manzil

    mushabah haal se tere hai haal qaumon ka

    uruj qaumon ka ya phir zawal qaumon ka

    ye zindagi bhi hai goya ki raushni teri

    nazar se chhupti hai lekin kabhi nahin bujhti

    agarche partaw-e-KHurshid se hai nur tera

    hai qarz dam ka jam-e-mai-e-surur tera

    bulandiyon mein bhi tera koi maqam nahin

    nujum-e-charKH-e-barin ka tu ham-KHiram nahin

    zamin ke pahlu mein tu ne magar jagah pai

    luTa ke daulat-e-husn-o-mataa-e-ranai

    Source:

    Bisat-e-Nau (Pg. 106)

    • Author: Fazlurrahman
      • Publisher: Bahadur Yar Jung Academy, Karachi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now