Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand ki fariyaad

Khalid Irfan

chand ki fariyaad

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    chāñd ne mujh se kahā ai shā.er-e-fikr-e-azal

    mere baare meñ bhī likh de koī sanjīda ġhazal

    har ta.alluq toḌ rakkhā hai hilāl-e-īd se

    tujh ko fursat nahīñ hai mah-vashoñ diid se

    rasm-e-dīdār-e-hilāl-e-īd, afsāna huī

    baam par us dam chaḌhe, jis vaqt farzāna huī

    le ke nazrāna kametī ne ujālā hai mujhe

    gar nahīñ niklā, zabardastī nikālā hai mujhe

    meñ jo be-marzī nikal aayā to DāñTā hai bahut

    maulvī ne muḳhtalif ḳhānoñ meñ bāñTā hai bahut

    is ko mat follow karo, is tarīqat maañd hai

    tum bareilly ke ho aur ye deobandi chāñd hai

    ye jo ḳhūñ-ālūd hai, afġhāniyoñ chāñd hai

    muḳhtalif TukḌoñ meñ pakistaniyoñ chāñd hai

    ik karachi se hai niklā ik pas-e-lahore hai

    sindh chāñd aur hai punjab chāñd aur hai

    vo jo ham-sā.e biivī hai ġhazālā chāñd hai

    aur us ke saath jo rahtā hai kaalā chāñd hai

    shā.eroñ ne apne sheroñ meñ bahut pelā mujhe

    'mīr' o 'ġhālib' ne bhī samjhā ḳhaak Dhelā mujhe

    sher meñ, rashk-e-qamar lailā ko farmāne lage

    tube-light ko hilāl-e-īd batlāne lage

    apnī biivī se kahā untīsvīñ chāñd ho

    aur paḌosan se kahā tum chaudhvīñ chāñd ho

    aam aurat ko mah-pāra banā kar rakh diyā

    chāñd ko TuuTā huā taara banā kar rakh diyā

    chāñd par jis din se insāñ ke qadam paḌne lage

    chāñdnī jin se ho aaise balb kam paḌne lage

    maiñ zamīñ se duur huuñ lekin bahut nazdīk huuñ

    ai zamīñ vaalo maiñ tum se duur rah kar Thiik huuñ

    maiñ zamīñ par aa gayā to har bashar le jā.egā

    sab se pahle ten-parsenT apne ghar le jā.egā

    chand ne mujh se kaha ai shaer-e-fikr-e-azal

    mere bare mein bhi likh de koi sanjida ghazal

    har talluq toD rakkha hai hilal-e-id se

    tujh ko fursat hi nahin hai mah-washon ki did se

    rasm-e-didar-e-hilal-e-id, afsana hui

    baam par us dam chaDhe, jis waqt farzana hui

    le ke nazrana kameti ne ujala hai mujhe

    gar nahin nikla, zabardasti nikala hai mujhe

    mein jo be-marzi nikal aaya to DanTa hai bahut

    maulwi ne muKHtalif KHanon mein banTa hai bahut

    is ko mat follow karo, is ki tariqat mand hai

    tum bareilly ke ho aur ye deobandi chand hai

    ye jo KHun-alud hai, afghaniyon ka chand hai

    muKHtalif TukDon mein pakistaniyon ka chand hai

    ek karachi se hai nikla ek pas-e-lahore hai

    sindh ka chand aur hai punjab ka chand aur hai

    wo jo ham-sae ki biwi hai ghazala chand hai

    aur us ke sath jo rahta hai kala chand hai

    shaeron ne apne sheron mein bahut pela mujhe

    'mir' o 'ghaalib' ne bhi samjha KHak ka Dhela mujhe

    sher mein, rashk-e-qamar laila ko farmane lage

    tube-light ko hilal-e-id batlane lage

    apni biwi se kaha untiswin ka chand ho

    aur paDosan se kaha tum chaudhwin ka chand ho

    aam si aurat ko mah-para bana kar rakh diya

    chand ko TuTa hua tara bana kar rakh diya

    chand par jis din se insan ke qadam paDne lage

    chandni jin se ho aaise balb kam paDne lage

    main zamin se dur hun lekin bahut nazdik hun

    ai zamin walo main tum se dur rah kar Thik hun

    main zamin par aa gaya to har bashar le jaega

    sab se pahle ten-parsenT apne ghar le jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now