Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaar fitne

Aale Ahmad Suroor

chaar fitne

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    Interesting Fact

    Char fitne' was written by Sarwar Sahib in Aligarh for his grandchildren Arfi, Rakhshda, Tabanda and Zarin.

    tiin fitnoñ qissa purānā huā

    chaar fitnoñ suniye zarā mājrā

    ek lambe haiñ aalim bhī fāzil bhī haiñ

    sach to ye hai ki thoḌe se kāhil bhī haiñ

    sher shauq bhī ilm zauq bhī

    aur gale meñ aligarh hai tauq bhī

    murġh-o-māhī rag rag se ye āshnā

    dostoñ par fidā aur ghar se judā

    khāne piine koī nahīñ hai nizām

    tiir tikke pe chaltā hai sab in kaam

    dūsrī jo haiñ paḌhne meñ go tez haiñ

    un ko dekho to bilkul añgrez haiñ

    raas aayā hai likhne chakkar unheñ

    milte rahte haiñ in.aam aksar unheñ

    haiñ nafāst-pasnd aur ḳhalvat-pasand

    dostī meñ bhī rahtī haiñ kuchh band band

    boltī haiñ to lafzoñ ġhā.eb sirā

    jumla un adhūrā palle paḌā

    tīsrī tez hai aur har fan meñ taaq

    har ghaḌī dil-lagī qahqahe aur mazāq

    paḌhtī likhtī bhī hai aur gaatī bhī hai

    apnī bātoñ se sab ko lubhātī bhī hai

    vahm ye hai ki haiñ daañt mere baḌe

    mujh se pūchho to lagte haiñ motī jaḌe

    sub.h ko roz aḳhbār paḌhtī hai ye

    bhaa.ī bahnoñ se phir ke laḌtī hai ye

    aur chhoTī hai guḌiyā ma.asūm

    kuchh to sanjīda thoḌī maġhmūm

    shart ammāñ se kahiye kahānī na.ī

    ek apnī laḌkī se hai dostī

    ghar sajāne us ko baḌā shauq hai

    film aur gaane bhī zauq hai

    sab se milne zahmat uThātī nahīñ

    aire-ġhaire ko ḳhātir meñ laatī nahīñ

    chaar phūloñ se gulshan meñ apne bahār

    chaar phūloñ pe saarī bahāreñ nisār

    chaar fitne nahīñ haiñ ye haiñ chaar yaar

    in se apne ufuq ko lage chaar chāñd

    in kirnoñ se jag meñ ujālā rahe

    in har bazm meñ bol-bālā rahe

    tin fitnon ka qissa purana hua

    chaar fitnon ka suniye zara majra

    ek lambe hain aalim bhi fazil bhi hain

    sach to ye hai ki thoDe se kahil bhi hain

    sher ka shauq bhi ilm ka zauq bhi

    aur gale mein aligarh ka hai tauq bhi

    murgh-o-mahi ki rag rag se ye aashna

    doston par fida aur ghar se juda

    khane pine ka koi nahin hai nizam

    tir tikke pe chalta hai sab in ka kaam

    dusri jo hain paDhne mein go tez hain

    un ko dekho to bilkul hi angrez hain

    ras aaya hai likhne ka chakkar unhen

    milte rahte hain inam aksar unhen

    hain nafast-pasnd aur KHalwat-pasand

    dosti mein bhi rahti hain kuchh band band

    bolti hain to lafzon ka ghaeb sira

    jumla un ka adhura hi palle paDa

    tisri tez hai aur har fan mein taq

    har ghaDi dil-lagi qahqahe aur mazaq

    paDhti likhti bhi hai aur gati bhi hai

    apni baaton se sab ko lubhati bhi hai

    wahm ye hai ki hain dant mere baDe

    mujh se puchho to lagte hain moti jaDe

    subh ko roz aKHbar paDhti hai ye

    bhai bahnon se phir ja ke laDti hai ye

    aur chhoTi hai guDiya si masum si

    kuchh to sanjida si thoDi maghmum si

    shart amman se kahiye kahani nai

    ek apni si laDki se hai dosti

    ghar sajaane ka us ko baDa shauq hai

    film ka aur gane ka bhi zauq hai

    sab se milne ki zahmat uThati nahin

    aire-ghaire ko KHatir mein lati nahin

    chaar phulon se gulshan mein apne bahaar

    chaar phulon pe sari bahaaren nisar

    chaar fitne nahin hain ye hain chaar yar

    in se apne ufuq ko lage chaar chand

    in ki kirnon se jag mein ujala rahe

    in ka har bazm mein bol-baala rahe

    Source:

    Mere Ghar Mein Ujala (Pg. 37)

    • Author: Aale Ahmad Suroor
      • Publisher: Aale Ahmad Suroor
      • Year of Publication: 2014

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now