Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaaragar

Daud Ghazi

chaaragar

Daud Ghazi

MORE BYDaud Ghazi

    ab kise chārāgar-e-dard kaheñ

    dard hotā hai har ik aan sivā

    dard pahle bhī to hotā thā bahut

    saḳht aur aisā ki jaañ dushman

    maut aane ke yaqīñ hamdam

    zinda rahne ke gumāñ dushman

    lekin us dard kuchh aur thī baat

    dard uThtā bhī hai dil meñ ki nahīñ uThtā hai

    hone paatā na thā is kisī pal ehsās

    hone paatā na thā ik aan ye ojhal ehsās

    ki jo begāne hoñ dukh ko na samajhne vaale

    un se dukh-dard na pā.eñge to kyā pā.eñge

    lekin ab koī bhī begāna nahīñ

    aur is baat dukh hotā hai har aan bahut

    aur dil hotā hai rah rah ke pareshān bahut

    ki nazar aate haiñ yuuñ ziist ke sāmān bahut

    aur phir ziist ke sāmān yakāyak

    dekhte dekhte ho jaate haiñ patthar kyūñkar

    yuuñ nazar aate to haiñ ziist ke sāmān bahut

    phir bhī jiine se hai bezār har ik jaan bahut

    aur ab koī bhī begāna nahīñ

    dard hotā hai har ik aan sivā

    ab kise chārāgar-e-dard kaheñ

    ab kise chaaragar-e-dard kahen

    dard hota hai har ek aan siwa

    dard pahle bhi to hota tha bahut

    saKHt aur aisa ki jaan ka dushman

    maut aane ke yaqin ka hamdam

    zinda rahne ke guman ka dushman

    lekin us dard ki kuchh aur thi baat

    dard uThta bhi hai dil mein ki nahin uThta hai

    hone pata hi na tha is ka kisi pal ehsas

    hone pata na tha ek aan ye ojhal ehsas

    ki jo begane hon dukh ko na samajhne wale

    un se dukh-dard na paenge to kya paenge

    lekin ab koi bhi begana nahin

    aur is baat ka dukh hota hai har aan bahut

    aur dil hota hai rah rah ke pareshan bahut

    ki nazar aate hain yun zist ke saman bahut

    aur phir zist ke saman yakayak

    dekhte hi dekhte ho jate hain patthar kyunkar

    yun nazar aate to hain zist ke saman bahut

    phir bhi jine se hai bezar har ek jaan bahut

    aur ab koi bhi begana nahin

    dard hota hai har ek aan siwa

    ab kise chaaragar-e-dard kahen

    Source:

    Waqt Ki Sadiyan (Pg. 102)

    • Author: Daud Ghazi
      • Publisher: Kokan Urdu Writers Guild, Kenya
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now