Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaDha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par

Aaftab Rais Panipati

chaDha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par

Aaftab Rais Panipati

MORE BYAaftab Rais Panipati

    girī hai barq-e-tapāñ dil pe ye ḳhabar sun kar

    chaḌhā diyā hai bhagat-singh ko raat phāñsī par

    uThā hai nāla-e-pur-dard se nayā mahshar

    jigar pe mādar-e-bhārat ke chal ga.e ḳhanjar

    shikasta-hāl huā qaum ke habīboñ

    badan meñ ḳhushk lahū ho gayā ġharīboñ

    abhī to qaum ne 'nehrū' ġham uThāyā thā

    abhī to daas furqat ne hashr Dhāyā thā

    abhī to hijr bismil ke zaḳhm khāyā thā

    abhī to koh-e-sitam charḳh ne girāyā thā

    chale haiñ nāvak-e-bedād phir kalejoñ par

    ki aaj uTh ga.e afsos naujavāñ rahbar

    adū vatan ko tashaddud se kyā dabā.eñge

    vo apne haath se fitne na.e jagā.eñge

    jo mulk-o-qaum devī pe sar chaḌhā.eñge

    nisār ho ke shahīdoñ meñ naam pā.eñge

    giregā qatra-e-ḳhūñ bhī jahāñ sapūtoñ

    fidā-e-hind vahāñ hoñge saiñkaḌoñ paidā

    jahāñ se mulk-e-adam naunihāl jaate haiñ

    numāyāñ kar ke sitam-kash haal jaate haiñ

    girā ke hind meñ koh-e-malāl jaate haiñ

    vatan ko chhoḌ ke bhārat ke laal jaate haiñ

    taḌap rahe haiñ judā.ī meñ be-qarār-e-vatan

    chale haiñ ālam-e-bālā ko jāñ-nisār-e-vatan

    giri hai barq-e-tapan dil pe ye KHabar sun kar

    chaDha diya hai bhagat-singh ko raat phansi par

    uTha hai nala-e-pur-dard se naya mahshar

    jigar pe madar-e-bhaarat ke chal gae KHanjar

    shikasta-haal hua qaum ke habibon ka

    badan mein KHushk lahu ho gaya gharibon ka

    abhi to qaum ne 'nehru' ka gham uThaya tha

    abhi to das ki furqat ne hashr Dhaya tha

    abhi to hijr ka bismil ke zaKHm khaya tha

    abhi to koh-e-sitam charKH ne giraya tha

    chale hain nawak-e-bedad phir kalejon par

    ki aaj uTh gae afsos naujawan rahbar

    adu watan ko tashaddud se kya dabaenge

    wo apne hath se fitne nae jagaenge

    jo mulk-o-qaum ki dewi pe sar chaDhaenge

    nisar ho ke shahidon mein nam paenge

    girega qatra-e-KHun bhi jahan saputon ka

    fida-e-hind wahan honge sainkaDon paida

    jahan se mulk-e-adam naunihaal jate hain

    numayan kar ke sitam-kash ka haal jate hain

    gira ke hind mein koh-e-malal jate hain

    watan ko chhoD ke bhaarat ke lal jate hain

    taDap rahe hain judai mein be-qarar-e-watan

    chale hain aalam-e-baala ko jaan-nisar-e-watan

    Source:

    aaftab-e-watan (Pg. E-58 B-57)

    • Author: Aaftab Rais Panipati
      • Edition: 1931
      • Year of Publication: 1931
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now